biwi pakistan gai hai

Gher ke kamon se ghabra ker
apni job se aajiz aa ker
6 hafte ki chutti pa ker
ker ke gher sunsaan gai hai
biwi pakistan gai hai

sone ke set banwaye gi
shaan masale bhi laye gi
suit bohut se silwaye gi
silk ke le ke thaan gai hai
biwi pakistan gai hai

aish karon gi amma ke gher
kaam karain ge noker chaker
car main le jaye ga shofer
le ke yeh arman gai hai
biwi pakistan gai hai

pannu main rehte hain aakil chacha
changa manga main taya hai
sab se mil ker ana hai
bana ke sare plan gai hai
biwi pakistan gai hai

trah trah ke khane paka ker
bher dala sara freazer
take main na khaon bahir
kerk ke poora etminan gai hai
biwi pakistan gai hai

ik din phone kiya us ke gher
bole us ke mama asgher
woh to le ke sara tabber
aaj subah hi multan gai hai
biwi pakistan gai hai

dhoop or germi se aa ker tang
mela huwa jab us ka rang
apni ik saheli ke sang
wahan se kaghan gai hai
biwi pakistan gai hai

aati hai us ki email baraber
kehti hai mujhe ko bhejo doller
phas mushkil main jaan gai hai
hoton ki mare muskan gai hai
biwi pakistan gai hai

2 Likes

Re: biwi pakistan gai hai

Bohat aala puray haftay ke threads aik he din mein start kardiye :k:

Re: biwi pakistan gai hai

:) bohat khoob.

Re: biwi pakistan gai hai

shan masala tou har jagah dastayyab hai :chai:

Re: biwi pakistan gai hai

wapes keb ae gee me ne koch kepre mangwane heyn :chai:

Re: biwi pakistan gai hai

abhi bata dou jab aa jaey gee tab kya faida :chai:

Re: biwi pakistan gai hai

ho sektah he agae ho:barbie:

Re: biwi pakistan gai hai

afsoos tumhari kaproon ki hasrat dhari ki dhari rah jaey gee
mujhay batao waisay bhi meray kareeb ho tum parcel kardoon gee :wink:

Re: biwi pakistan gai hai

so have you been eating the khana she so lovingly froze?? :D

Re: biwi pakistan gai hai

Main pk ja raha hoon.lekin ek month k bad wapis ahon ga agar ek month tak wait kar sakho to main leh ahon ga jo kaho gee.

Re: biwi pakistan gai hai

salaam
aray aap to aapas main he baatein kernay lag paray koi tareef b to karoo :)
its ok koi baat nhi jo tareef karay us ka bhi bhala jo na karay us ka bhi :)
aap sab ka bohrt shukriya !
Hafiz Sufyan Ghulam Rasool !

Re: biwi pakistan gai hai

iss k agay kuch aur likhna tha aap nay ya yeh name hai aap ka :konfused:

Re: biwi pakistan gai hai

mera naam Hafiz Sufyan hai aur mere PAPA ka Ghulam Rasool
main apna Papa ka naam apnay naam say kesay alag ker sakta hun ?

Re: biwi pakistan gai hai

really nice

Re: biwi pakistan gai hai

tehk he :D

Re: biwi pakistan gai hai

thanx for sharing

Re: biwi pakistan gai hai

haan to kiya chaiye apni list mujh dey dehna.:)

Re: biwi pakistan gai hai

Savo…I want bottle green suits- umda one..need to wear to a wedding, and i dont mind some few (say 20) cotton ones, and about 20 silk ones. Saath mei matching jutti ho toh baat ban jaye. Shawl bhi…kashmiri- kuch gurdhe rung ke…5 chalegi. Thanks. Apna address pm mei tumhe post kar dungi. :chai:

Haan, Nokia- biwi gayee hei waps aa jayegi. koi lafda/chakkar na laa lena kisi aur ke saath- chahe kitna dil kare :chai:

Re: biwi pakistan gai hai

Salaam
aray itna kuch order ker diya aap nay :)
7star g itnay pesay hain aap k pass ?
Jhanjerwali ge mere to abhi shadi he nhi hue :)
mere honay wali bewi abhi apnay ghar per he hai :)

Re: biwi pakistan gai hai

:confused: app MM ho? wo offer MM k liye thi app faida uthane ka soch rehi ho.:lajawab:
aur ye list app ki nahi kisi k jaheez ki list lagti hai:konfused::mudhosh:
ok fine address pm kar deyen.
lekin yaad rehe abi main pk nahi ja raha jab jaon ga tab leh ahon ga.
lets see kab mujh shuti milti hai.
MM you are late. dekh loh aur faida utha rehe hain tum soyi raho and plz ab koi aur apni farmash nah kar me full.:mudhosh: