bhool jata tha

**Udaas shamon mein woh laut ke aana bhol jata tha,
Kar ke khafaa mujh ko manana bhool jata tha,

Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh ke naam diwaron pe mitana bhool jata tha,

Mat pooch mohabat mein la’parwahi uski,
De ke zakhm wo marham lagana bhool jata tha,

Kitna dilnashi’n hota tha uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhool jata tha.**


Restored attachments:

Re: bhool jata tha

Hamdard ka khameera gao zabaan khaen, shayad affaqa ho

Re: bhool jata tha

Nice!

Re: bhool jata tha

shukria hakeem sb:salute:

Re: bhool jata tha

damagh ke liye muqawwee hai

Re: bhool jata tha

aik hi muqawee kafi hai

Re: bhool jata tha

:cb: kia overdose ho gaya

Re: bhool jata tha

aik hi muqawwee=muqawwee123

123 muqawwee,overdose to hona hi tha