Re: Best of darwesh
Darwesh bhai.
Ab jabkeh likhnay ki ijazat mili hai tu tumharay kalaam ko aik martaba phir ghaur say pardha.
Sab say pehlay tu main tumharay andaz-e beyan ki tareef karon gi jo keh khara hai. Aur iska aik ghambeer lehja hai. Jo seedha dil par asar karta hai.
Agarcheh baaz aukaat rawaani mein rukaawat mehsoos hoti hai magar mein samajhti hoon jaisa keh tum nao warid ho aur Urdu bhi baqaida nahi pardhi tu hamaray liye tu yeh baat hi baRdi hairani ki hai keh tumhara dikshan bohut aala hai. Khaas taur par Hindi dikshan bohut khoobsoorat hai.
Abhi tu aaghaz-e saffar hai aur johar abhi say khul kar nazar aa raha hai.
Darwesh ki baaz nazmoon mein aik namaloom si kassak hai. Aik ajeeb si udasi ghair leti hai. Magar woh shikast-e aarzo ka matam karta howa nazar nahi aata hai. Zindagi say mohabbat karta hai. Zindagi ko aahon aur gosha nashini kay hawalay naheen karta. Khud bhi saans laita hai aur doosaroon ko bhi siki targheeb daita hai.
“Go tera lams nahi hai”, is nazam mein is nay baRdi jurrat say iqrar kiya hai aur koi camouflage naheen kiya hai. Lehja khara hai maggar kisi ka dil naheen toRdta.
“Paidal Sawaar”, yeh nazam choti maggar haqeeqat ka bharpoor tasur liye hai.