Re: Best Ghazals
Very nice sharings all of you....
Katthin hay zindagi kitni
safar dushwaar kitna hay
kabhi paaoN nahi chaltey
kabhi rasta nahiN milta
hamara saath day paey
koi aaisa nahiN milta
faqat aesay guzaroN tu
yeh roz-o-shab nahiN kattaytay thay kabhi pehley
ye kat
magar haaN aab nahiN kat`tay
mujhe phir bhi meray Malik
koi shikwa nahiN tujh se
maiN jaaN par khhail sakta hooN
maiN har dukhh jhail sakta hooN
agar to aaj hi kar day
muhabbat hamsafar meri