Re: Best Ghazals
Dyar-e-ghair main kaisay tujhay sada daitay
jo mil bhi jatay to aakhir tujhay ganwa daitay
Tumhein nay hum ko sunaya na apna dukh warna
dua wo kartay ke hum aasman hila daitay
hamain ye zuam raha ab kay wo pukarain gay
unhain ye zid thi ke har bar hum sada daitay
Tumhain bhulana awal to dastras main na tha
jo ikhtiyar bhi hota to kia bhula daitay
sama'aton ko main ta umar koosta sayed
woh kuch na kehtay magar hont to hila daitay