Dedicated to The Orphans Of Lebnan !
** Read… Ponder …Comment…Circulate. **
** BEIRUT JAL RAHA HAI !** <<<<<<<<<<<<<<
Beirut Jal Raha Hai, Ta’ghoot Apna KasBal -
** Phirse Dikha Raha Hai,**
Libnan Aur Falasteen Khoon Main Naha Raha Hai Bachhe Hon Ya Ke Bourhe Zakhmi Sissak Rahe Hain Turbat Bina Yeh Laashein Galiyuon Main Sarr Rahi Hain …Beirut Jal Raha Hai !
Ummat Magar Bechaari Dekhho Tou So Rahi Hai Aalim Ho Ya Ke Hakim Khaamosh Tak Rahe Hain, … Beirut Jal Raha Hai !
Paani Dawaayee Roti Kuchbhi Kaheen Nahi Hai Chul’ha Bujha Hua Hai Barood Jal Raha Hai Insaaniyat Ka Laashaa Insaan Par Hai Hairan … Beirut Jal Raha Hai !
Insaan Marr Raha Hai Shaitaan Hans Raha Hai Tareekh Jal Rahi Hai Tahzeeb Mit Rahi Hai Islam Ke Yeh Da’yee Dhoondo tou Sab Kahan Hain, … Beirut Jal Raha Hai !!!
Ehsaas, sach, aks-e-haal, is baar ko lafzon ne utthaaya or anmol ho gaye, agar ye baar har insaan uttha le to anmol ho jaaye. Allah un sab pe or har Musalman pe rehem kare or soye huon ko jaga de. Aameen.
Insaan Marr Raha Hai
Shaitaan Hans Raha Hai
Tareekh Jal Rahi Hai
Tahzeeb Mit Rahi Hai
Islam Ke Yeh Da'yee
Dhoondo tou Sab Kahan Hain,
.................................................. .......... Beirut Jal Raha Hai !!!
Buhat Zabardust Darwesh G aur yeh akhri misra'e buhat kuch sochnay par majboor kar daita hay ........ Dill Uss Sallah-ud-Din Ayoubi Ko Yaad karnay lagta hay jiss nay Tan Tanha Inn Yahoudeon Ko Chain Say Baithnay Nah Dia ........ Aankhain Uss Muhammad Bin Qasim Ko Talashti Hay Jo Ek Bahan Key Pukar Par Sub Kuch Chore Kar Chala Aaya ..... Leekan Bus Muslim Dunya Kay Ayash Hukmaran Ayashi Say baaz Aain To Kuch Sochain Na ..... sorry main aap key ghazal par tabsaray key bajay apni kahanian lay kar baith gia ......... Magar Kia Karoon Yaar kabhi kabhar jazbati pun ka woh zamana yaad aanay lagta hay jub hum bharpoor tareeqy say muzamat kartay thay ....
anyway wounderfull ghazal with full of emotions .....
Jazaak-Allah. Bohot umdagi ke saath aap ne akkasi ki hai. Allah karey aap ki pukaar tamaam Muslim Ummah ke dil mein utar jaye. **
**Aap ne meri khwahish puri kar di. Bohot bohot shukria. Agar hum ne Allah (Subhanahu Wa Taa'la) ke Qurani hukm ke mutabiq ab bhi apney ghorey (horses) tayyar na keye to kab karein gai?
darwesh g, jo baten ham sab k dilon mein thi lekin zuban kehney sey qasir thi aap ney ham sab k jazbaat ka nahayat umdagi k sath izhaar kiya hai us ko lafzon mein bayan kiya hai, dil pe asar kar gai ye nazam ankhon mein pani bhar aya, kaash k muslim umma b jaag jaye hamarey soye huey haakmon ki gairat ko jaganey k liye isi tarha ki nazmon ki zaroorat hai,
Pata Nahi Kyun Dil Chahraha Tha Ke Iss Nazm Par Pahla Ta'assur Apka Ho, Khudawand Aapko Shaad Aabaad Rakhhe..... Duago Hun Allah TabarakTalla Hum Tamaam Qalamkaron Ko, Apni Zimmadaari Ka Ehsaas Dilaye... Ameen.
Shukriya Darasl Mujhe Aapka Karna Chahiye, Ke Aapki Khwahish par Iss Nazm Ne Janam Liya, Main Umooman Aisi Karwi Kasaili Nazmain Nahi Likhta, jabtak koi aapki tarha ka dost sharminda Na Karde Ya Lalkaar Na De.... Iss Nazm Ki Pasandeedgi Ka Sehraa, Sach Pouchye To Aapko Jata Hai, Khudawand Aaap Ki Aur Aapjaison Ki Dua Qubool Farmaye...Ameen !
Houslaa Afzayee Ke Liye Mashkoor O Mamnoon Hun, Aap Jaison Ne Nazm Pasand Farmayee, Meri Kawish Ko Sila Mil Gaya. Hum Tammam Dost Qalamkaron Ko Kuch Na Kuch Zaroor Likhna Chahiye, Khwah Ek Sher, Aap Nazmon Ki Shaera Hain... Bismillah Kijye !
*Haq Allah!! Assalaam-o-Alekum. Aye momin insaan, meri pukar pe Labbaik kehney waley. Mein Muslim Ummah ki baat nahi karta, Dil-e-Muslim ki baat karta hooN Kyoonkeh baqaul shakhse.....Hazaar aala zehnoN se ek aala dil behtar hai. Aap aala zehen ke saath saath aala dil insaan bhi hein. Achey zarf ka mayaar, acha dil hai. Meri darkhwast aap ke lye lalkaar bani....yeh is baat ki nishandehi hai keh aap Jawan-Mard bhi hein. Jazakumullah-o-Khaira!
*
The angusih of all the innocents who are the victims of senslessness makes me cry.I believe that whether it is the blood of a muslim,jew,christian,hindu or sikh,it is the blood of a fellow human being.I donot make distinction between race,religion,country or sex.
**Dilfigar o dilshikan halat pr aik dilgeer nazm takhliq ki hy. ** "Khty hain ky Ghalib ka hy Andazy Biyan or" or ham tu khty hain DASH ji bilashuba Ghaliby Shora e gupshup hain.