i remember sayings one of my friend,s mother
mera baita bohat acha tha lakin Falan lrkee nay us ko tabah ker diya
bhala main kaysay us lerkee ko bahoo bana loon jo raat gayee tuk mere baitay say chatting or phone per bat kertee hai
mainy us waqt bhi soocha tha …
kay kia LERKAY itnay kamzoor or baybus hain k ik lerkee un ko apnay peechay laga lay or woh kuch na ker paain ?
yeh LERkoon ki MaooN ki nazar main in k apnay baitay hameesha PARSA he kion hotay hain ?
apnay baitooN ko kion nahi samjhate ..un ko Gaaliyan or dhamkiyan kion nahi dayteen ?
lerkee ko phone ker k kaha jayee ga k hamaray baitay ka peecha chor do
werna tumhain badnaam ker dain gay …or is call ka baitay ko na batana
hahahahahahh wat a joke ? huh
sub say doghla wujoood is saray muamlay main WOh MArd hain jo ik kamzoor nazuk wujood say Waday kertay waqt apnay maa baap say nahi poochtay lakin nibhanay ka waqt ayee to MAa baap kay haqooq yad ajatay hain ..phir Taqdeeer ka falsfa bhi yaad ajata hay ..kia insaniyat kay haqooq nahi hotay ..woh lerke insan nahi thee…?
app mut nibhaain apnay waday …jaaain apnee duniya abad kerain lakin kam say kam RUSWA to na kerain..us nay app ka aytbaar kia bus yehe ghalte the us ki …
badkirdaar or bazaree lerki jaisai alfaz app kay maa bol rahee hay to itnee ghayrat to dikha k un ko aisa kernay say rok dain
merd MUhabat nibha ley to BAWAFa ka tamgha jeetay
Maa baap ki maan lay to FErmaberdar kehlayee
or lerkiaan ?
haan
lerkiaan muhabat ker lain to BAzaree ho jatee hain ..
.bad kirdaar or nafs perast kehlaye jateen hain
haan is lerkee ki ghalte hay kion kisi namehram ki bat ka aytbaar kia ..chahay woh sharafat kay kissi bhi mayar per ho us ka kuch nahi bigrta … lakin app sub kho beithain gee
k…
Allah to muaff ker dayta hay …LOG nahi kertay …!