ik Allah ki **masheeat **hay or ik Allah ki **raza **hay
is baat per tmaam ulma-e-karaam ka itfaaq hay k Allah ki masheeat kay baghair kuch nahi ho sakta duniya main jo kuch hay acha bura sub main Allah ki masheeat shamil hay
or ALlah ki raza main sirf jaaiz cheezain hain is ley Allah ki raza kay khilaaf ho sakta hay
Allah fermatay hain
k Allah bandooN kay kuffer say raaze nahi ,, lakin kuffar paida kis nay kia hay ? Allah nay is main Allah ki masheeat hay lakin raza nahi
or Allah fermatay hain
la ikraaha fi,deeen ..kay deen main koi zaberdastee nahi
or Allah fermaatay hain
fa man shaa'a fal yo'min wa maan shaa'a fal'yukfir
or tum main say jo chahay iman laye or jo chahay kufer keray
or sora balad main Allah fermaatay hain
wa hadinaahu najdain or hum nay donoo raastoon issy dikha deye (yanee bhalaye or buraye k)
in ayatoon main wazhat say maaloom hota hay k insan ko Ikhtyaar diya gaya hay k woh kon sa raasta chun lay
ahl-e-saadat or ahl-e-shaqawat ka faisla Allah kay ilm-e-muheet main hay ... kion Allah to jaantay hain k mera kon sa banda tmaam hidyaat or taleemat kay bad bhi gumrah rahay ga or kon seedhay rasta pa lay ga
is main yeh baat to kaheen saabit nahi hotee k Allah nay CHOOSE kia hay k yeh banday achay hoon gay or yeh kharab ?
[quote]
Allah says that if he says "be" and every human will become a naik preheizgar muslim. **But He don't say that."
But He don't say that. It should be the answer enough for intelligent minds
[/quote]
or kitnee ajeeb bat hay wiseguy k app ko apnee likhee baat hee nahi samjh ayee
Allah tala ka yeh fermaana k AGAR woh chahtay to saray insaan naik ho jatay lakin Allah nay aisa nahi chaha ?
to yeh to saamnay ki baat hay Allah nay insaan ko us kay KASAB (amal) main azad ker diya k woh jo raasta apna lay ?