There comes a time in your life that you just cant resist telling your love that “he/she is the one” and you want to choose the best way to tell her/him …you are so much possessive about your belovved…so here goes this poem
ik aisi hi nazam
kaho ab kya kahun tum se
batao kya likhun tum ko
mujhay Tamheed dou koi, mujhay umeed dou koi
naya ik lafz ho koi
jahan se baat chal niklay, meri mushkil ka hal niklay
batao lehja kaisa ho
ke tum se baat karni hai
mujhay thora ujala dou, basar ik raat karni hai
tum apni roshan ankhon ko
agar kholo tou mai likhun
tumharay lab(lips) se ay ga sukhan mai ik kateela pun
tumhari aankh de de gi, takhatb ko nasheela pun
kaho ab kya irada hai
mujhay izhaar karna hai
ke betaabi zyada hai
Aap logon ki discussion main madaklat ke liay ma’azrat khwah hoon,
Lekin ziada tar hota aisa hi, especially jab aap kisi ko tah e dil se chahtay hon to ussay khonay ka dar bhi utna hi hota hay.
Uss ko chaha bhi to Izhaar na karna aayaa
Kat gaee umar hamain pyar na karna aayaa
Uss ne maanga bhi agar kuch to judaai mangi
Aur hum thay hamain inkaar na karna aayaa
hum nay pahlay hee farma diya hay k humari bad luck hee kharaab hay good ho hee naheen saktii warna 25 saal ka gabroo jawaan aur akailaaaaaaaaaaa:crying:
Inhen khush gumaniyon main, kahen ja’n say bhi naa ja’on
wo jo charah-gar nahi hay, usay zakham kiyon dikhaoon
Ye judaiyoon k rastay bari door tak ga’ay hain
Jo gaya wo phir na aya meri baat maan jaao