gachak batashay makhanay tou abhi tuk bantey aor khay jatey hein mairey ilaqay mein :cobra:
chalghozay wadday pai jan mujh jaisey ghareeb ko tou arsa howa shakal daikhay hoye woh sonay kay bhao miltay hein aor u ko tou koi nah koi gift kar day ga me k dost bhi mairey jaisey ghreeb hein
I can’t understand what the hype about chalGhozey is … never liked em … too much work and not enough inside … and kholney lago to naaKhun maiN bhi chubhtey haiN … khaaney lago to aik Kharaab chalGhoza mooN ka zaiqa Kharaab ker dey … phir zaiqa Theek kerney ko 10 aur khaoo … abhi sahi sey zaiqa Theek howa nahiN hota key aik aur Kharaab a jaata hey mooN maiN …
people use chalGhozey just to prolong their baiThak with friends for gupshup and to keep their hands busy … ewi ka time waste … is sey acha banda knitting ker ley gupshup key saath saath …
we also call it gaJak … and the pic someone posted looks more like guR … the gaJak that we used to have in my childhood was more like a nut toffee … with lots and lots and LOTS of nuts and sesame seeds …
again … don’t understand why people like them … nothing but hard sugar … sticks in your teeth as well … daantooN ka nuqsaan kerna hi hey to gaJak kyoN na kha laiN …
^ original BareliyoN se poochheN k vo meelaad ke ba’d bataashe kiuN baaNTte haiN?
**
ham bolegaa to bologe k boltaa hai
Joshii [Mr.] paRosii kuchh bhii bole
ham to kuchh nahiuiN bolegaa**
wo to is lyey baanTtey haiN kyoNkey sastey maiN poorey muhalley key bachey nimmaT jaatey hooN gey … I was only talking about my personal preference … mujhey to chaaliya, chuwaarey bhi issi lyey nahiN pasaNd key wo saKht hotey haiN … personal preference …
Halwaii kaa banaayaa huaa Halwa khaanewaalaa/waalii masha Allah se football ban jaate/jaatii haiN…ghar kaa Halwa dieting karne waaloN ke liye nihaayat hii mauzooN hai.
tauba karo jii…maiN Halwaaii ke yahaN se 100 gram Halwa khaauuN yaa utne hii paisoN se ghar pe ek kilo banaa kar khaauuN…only aqlMand log aisaa karte haiN…kanjoos nahiiN!