barbaadi-e-dil jabar naheen Faiz kisi ka
woh dushman-e-jaan hay to bhula kyoon nahi daitay
ZINDAGEE JIS K DUM SAY HAY NASIR
YAAD USS KEE AZAAB_E_JAAN BHEE TOA HAY
Han tum ko bhool janaye kee koshish karaIn gay hum
tum say jo ho sakay to na ana khayaal main
Kisi bewafa ki khatir, yeh junoon Faraz kab tak
Jo tumhain bhula chuka hai, usay tum bhi bhool jao
Wow beautiful shairs.. :k:
[QUOTE]
*Originally posted by Minerva: *
Kisi bewafa ki khatir, yeh junoon Faraz kab tak
Jo tumhain bhula chuka hai, usay tum bhi bhool jao
[/QUOTE]
AA K AB TASLEEM KER LAIN TO NAHEE TOA MAIN SAHEE
KON MANAY GA K HUM MAIN BEWAFA KOI NAHEE
Woh to Rasme-Ulfat hi Ijaazat Nahin Deiti warna;
Hum bhi Tumhein aisa bhoolein ke yaad karo gay
Her roze sochta hoon kay bhool jaoon tughay,
Her roze yehi baat bhool gata hoon main
wah wah wah! kia kehnay hain aap logoon kay zouq kay :--)
Coolpeepa, that last one is nice.
tujhe bhuul jaane kii koshishe.n kabhii qaamayaab na ho sakii.n
terii yaad shaaKh-e-gulaab hai jo havaa chalii to lachak ga_ii
tumhay bhulana hi awal to dastaras main nahi
jo ikhtayar bhi hota to kya bhula datay?
nice ashar :k:
TUMHARAYE BUSS MAIN AGAR Ho TOA BHOOL JAO HUMAIN
TUMHAIN BHuLANAY MAIN SHAID HUMAIN ZAMANA LAGAY
YEH MUHABBAY BHEE HAY KIA ROG FARAZ
JIS KO BHOOLAY WOH SADA YAAD AYA
SUNO!
YEH YAAD RAKHNAY KA HUNAR AASA_N NAHI HOTA
KISSI KO YAAD RAKHNAY MAIN
BAHUT KUCH BHOOL JANA BHEE TO PERTA HAY !
PEER ZADA QASIM
Uff, kitnay achay ashaar hain :--)
Bhuli hui yaado mujhay itna na satao
Ab chain say rehnay do, meray paas na Aao :--(
Ik baar tujhay dil nay chaha tha bhulana
Sow baar junnon nay teri tasweer dikha dee
Woh bhuli daastaan, jo phir yaad agai
Nazar kay samnay ghata see chahgaee
Bhulana bhi naheen ata, chupana bhi naheen ata
Mujhay tum say mohaabta hai, batana bhi naheen ata
(these two are songs btw, :--D)
Bhul jana tow rasmay dunya hai
Apnay konsa kamal kia
Sehar Ansari
Bhula diya zaalim nay mujhay adatan bhi magar
Woh baat jis say main yaad aaon, mujh main thee bhi naheen