barbaadi-e-dil..

Bhulnay walay say, koi kehday zara
Is tarha yaad anay say kia faida

Ab meray dil ki dunya basatay naheen
Phir khayaloon main anay say kia faida

Lakh tinkay jalanay say kia mil gaya
mit saka na zamanay say mera nishaan

Hum pay bijli girao tow janay sahee
Ashiyaan par giraa nay say kia faida

Bhulnay walay say, koi kehday zara
Is tarha yaad anay say kia faida

BHula toa Don ussay dail say mera , magar Aazar`
woh bheegee rait pay likha kissi ka naam nahee

[QUOTE]
*Originally posted by coolpeepa: *
Woh to Rasme-Ulfat hi Ijaazat Nahin Deiti warna;
Hum bhi Tumhein aisa bhoolein ke yaad karo gay
[/QUOTE]

:S

[QUOTE]
*Originally posted by coolpeepa: *
Her roze sochta hoon kay bhool jaoon tughay,
Her roze yehi baat bhool gata hoon main
[/QUOTE]

:-)

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
tumhay bhulana hi awal to dastaras main nahi
jo ikhtayar bhi hota to kya bhula datay?
[/QUOTE]

bohot khoob

[QUOTE]
*Originally posted by Minerva: *
Bhula diya zaalim nay mujhay adatan bhi magar
Woh baat jis say main yaad aaon, mujh main thee bhi naheen
[/QUOTE]

:/ :-(

nice thread :) here's my contribution, shayir unknown

ek naam kya likha tera sahil kee reyt par
phir omr bhar hava se meri dushmani rahi

Tujhe bhoolne ka hausla nahee hota
Kyo tera khayal dil se juda nahee hota
Yeh qassam jab jab uthaati hoon mein
Kyo ander hi ander toot si jaati hoon mein
Teri tasveer kyo ubharti hai dil mein ab bhi
Tera khayal kyo tarpaata hai ab bhi
Teri khush mein khush hona chaahati hoon mein
Per aisa kyo hai ke mein ander ander roti rehti hon
Tujhe kho kar ab tu yeh dil bhatakta phirta hai
Tumhara sath kismat mein nahee hai
Per tujh se milne ki iltaja alag hai
Lekin
Kyon mein tujhe bhool nahee paati hoon
Tere khwaab tera khayal tera pyar bhool nahee paati hoon mein

Nice Ashaar.. Bohat khoob.. :k: :k:
ek meri taraf se..

Tootey huwe dil ko kabhi jurte nahi dekha
Girr jaate hain jo ashk uthaaye nahi jaate
Mohsin hi samajhte hain gham-e-dost tujhe hum
Dushman tau kabhi dil mein basaaye nahi jaate

HUM NAY RAKHA HAY USSAY DIL K MAKAN MAIN BURSON
JOA KABHEE HUM SAY ASHNA SAR_E_BAZAAR HUA

Thank you show_sha :)

WOH Dil HEE KIA TERAY MILNAY KEE JO DUA NA KAREy
MAY TUJH KO BHOOL K ZINDAH RAHON, KHUDA NA KAREy

very nice shairs

shikwa na karta zamane se koi agar maan jata mana-ne se koi,
kisi ko karta na yaad koi agar bhool jata bhoolane se koi,

thak gaya mai karte karte yaad tujh ko
ab tujhe maiN yaad aana chaahta hoon

ISHQ nay seekh hee lee waqt kee taqseem k ab!
Woh mujhay yaad toa ata hay magar kaam k baad

a very beautiful ghazal and well sung by Jagjit Singh ... Album: Silsila

*

main bhool jaaun tumhe ab yahi munaasib hai
magar bhoolana bhi chaahun to kis tarah bhoolun
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin
yahaan to dil ka ye aalam hai kya kahun
kamabakht
bhula saka na ye silsila jo tha hi nahin
vo ik khayaal
jo aawaaz tak gaya hi nahin
vo ek baat
jo main kah nahin sakaa tum se
vo ek rabt
vo ham mein kabhi raha hi nahin
mujhe hai yaad woh sab
jo kabhi hua hi nahin
agar ye haal hai dil ka to koi samajhaae
tumhein bhulana bhi chaahun to kis tarah bhoolun
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin

*

beautiful thread .. :k: .

dagh! its awsme :k:

Zabardast... Khush rahoo

Daagh, thats a beautiful piece.

Hum main he thee na koi baat, yaad tum ko na asakay
Tum nay hamain bhula diya, hum na tunhain bhula sakay.

Hafiz Jalindhary

thanks all :)

main to gum tha tere hi dhyaan mein, teri aas mein, tere gumaan mein
hawa kah gai mere kaan mein, mere saath aa use bhuul ja

  • Amjad Islam Amjad

Woh tery naseeb kee barishaIN kissi aur chhut pay baras gaee
dil-e bay khabar meri baat sunn, ussay bhool ja ussay bhool ja

woh jo mil gaya ussay yaad rakh, jo nahi mila ussay bhool ja....................................................................