Ankhon se teri chhan k barastay hain ujaalay
jaisay k dareechay se sehar jhaank rahi ho.
Re: Barastay hain ujaalay
es k sath to khobsurat si pic honi chahiay thi :)
Re: Barastay hain ujaalay
es k sath to khobsurat si pic honi chahiay thi :)
aap quote kar dein
Re: Barastay hain ujaalay
wesay main samjhta hun, aajkal poetry ko illustrate karnay k leay kuch zayada hi larkion ko pics ko use kia jata hai
lekn abstract k elawa poetry ko illustrate nai kia ja skta
Re: Barastay hain ujaalay
per aap k shair me kisi larky ki pic ho to sochen achi lagi gi :)
Re: Barastay hain ujaalay
achi poetry ko kisi pic ki zaroorat nahi hoti
Re: Barastay hain ujaalay
Ankhon se teri chhan k barastay hain ujaalay jaisay k dareechay se sehar jhaank rahi ho.
street light ki baat ho rahi hai?
Re: Barastay hain ujaalay
aaj kal street lights load shadding ki waja se band hi rehti hain
Re: Barastay hain ujaalay
aaj kal street lights load shadding ki waja se band hi rehti hain
kia baat kar di.. Karachi ki boht si streets per subh 11 baje tak street lights on rehti hain
Re: Barastay hain ujaalay
kia baat kar di.. Karachi ki boht si streets per subh 11 baje tak street lights on rehti hain
Lahore main bhi kuch aisa hi hota hai, ya to chalti hi nahi, chalti hain to 5 bajay se hi on ho jati hain
Re: Barastay hain ujaalay
street light ki baat ho rahi hai?
haanji ye street lights Ishq Abad main lagi hui hain :p