Yeh zaroori tou nahin aag se jal jaye bashar
Baaz logon ko muqaddar bhi jala dete hain
*Na farishta ho na farishto`N jaisa ho
Mujhe talaash hai jiskii wo mere jaisa ho
Mere khulos ko pehchanta ho bus itna hii kafii hai
Wo koii bhee ho kaheen bhee ho kaisa ho *
**Woh saa'nso'n say aisay guzar kar gayaa
Nighaaho'n ko ashko'n say tar kar gayaa,
Nahee'n chein say jis nay jeenay diya
Wohi dard mujh ko nidar kar gayaa.**
*Ajnabii shehr k ajnabii raaste merii tanhaii per muskuratay rahay
Mae boht dair tuk yunhii chalta raha.. tum boht dair tuk yaad aatay rahay *
**Ye fasaana nahiN haqeeqat hai
K hameiN aap se mohabbat hai
Laakh kar le gurez too chaahe
Payaar mera tou ik ibaadat hai **
humne to bas wahi suna hai jo uski aankhein kehti hai
itna sa sach hai baaki afwaahein rehti hain
jaise kataar mein parwaaz karte hai parinde
unki aarzoo mere dil mein bas aise behti hain
*Na wo aankh terii aankh thee na wo khwaab hee tera khwaab tha
Dil-e-muntazir tu ye kis liye tera jaagna, usse bhool ja *
ab mulaqaat mein woh germi i jazbaat kahan
ab to rakhne woh muhabbat ka bharam aate hain
*na huii gar mere marane se tasallii na sahii
imtihaa.N aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii *
Ye mujhe saans bhee khol ker nahi lene deta
Meri sheh-rug pe jo khanjaR hai kaii sadiyo`N se
Us ki aadat hai jarrien kaat-te rehne ki *Wasi
Jo merii zaat ka mehvar hai kaii sadiyo`N se *
**yo.n lage dost teraa mujhase Khafaa ho jaanaa
jis tarah phuul se Khushbuu kaa judaa ho jaanaa
ahal-e-dil se ye teraa tark-e-ta'alluq
vaqt se pahale asiiro.n kaa rihaa ho jaanaa **
Na ho jis se jahan main koi bhter
Kahin asa koi moti nahin hay
Adhoori hay her ek manzil hamari
Mukamil fikr kuin hoti nahin hay
Yaad rakho tow dil kay paas hain hum
Bhool jao tow hain faslay bohat
T
*Tujh se bichra tu murjha ke howa bard-e-hawa
Koun deta hai mujhe khilne ki dua tere baad *
ik
Ik mard-e-Qalandar nay Ajab baat kahi ti
Aey Skash Teray dost wafadar na hon gay
*Ye Qanaat hai ataaat hai k chaahat Faraz
Hum tu raazii hain wo jis haal mein jaisa rakhien *
**na milaa kar udaas logo.n se
husn teraa bikhar na jaaye kahii.n
aarazuu hai ke tuu yahaa.N aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahii.n **
*Nakaam hasratoN k siwa kuch nahi rahaN k siwa kuch nahi raha
Duniya mein ab dukho
Jazbay tamaam kho gye lamhoN ki dhool meinN k siwa kucn nahi raha *
Ab dil mien dharkano
ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n
duniyaa se kho gayaa huu.N tumhaare Khayaal me.n
*NaQsh diye teri aashaoun ko aks diye tere sapnoN koN mien hum ghoondh chuke thay us k lams ki khushbo` ko
Lekin dekh hamarii halat waQt ne kia tavaan liya
Ashko
Moom k phool bananay baithay lekin dhopp ne aaN liya *