Baitbazi

*

Wo raat bhar ka mehmaan tu umer bhar k liye
Chala gaya mujhe yadoo`N ka silsila de ker
*

**raat bhii niind bhii kahaanii bhii
haaye kyaa chiiz hai javaanii bhii

ek paiGaam-e-zi.ndaganii bhii
aashiqii marg-e-naagahaanii bhii **

*Yehii nahi k hamien toor gaya hai koi
Usse bhee khud ko boht dair tuk joorna ho ga *

**ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun

dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun **

*Na gila kia na khafa hoay yunhii raaste se juda hoay
Na tu be-wafa na mae be-wafa jo guzaR gaya su guzaR gaya *

**ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N
yaad kyaa tujh ko dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N

yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N**

Ahmed Faraz

*Na tu raaste hee khul sakay na tu manzilien hee mil sakeen
Ik be-nisha`N sii umeed per koi akhir kub tuk jiya karay *

**yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

karuu.N shikaayate.n takataa rahuu.N ke pyaar karuu.N
gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai**

Yeh Peeraan-e-Kaleesa-O-Haram! Aye Waaye Majboori
Silaa inn kee kud-O-kaavish kaa hai seenouN kee Bay Noori

YEH

Yeh ehsas naya hai jo mainey jiya hai
Mujh sey milkey koyi meri rooh pagaya hai
Kya khab tha koyi ya haseen naghma
Tumharey madhur honton sey gunguna gaya hai

YaqeeN paidaa kar aye naadaaN! YaqeeN say haath aati hai
Woh Dervaishi, kay jiss kay saamnay jhukti hai Fuhghfoori!

YEH

*Ye ilm ka sauda ye kitabien ye risalay
FaQt ik shaks ki yaado`N ko bhulanay k liye hien *

nai kapray badal kar jaoon kahan or baal banaaon kisa kay liyay
woh shaks tow shehar hi chor gaya ab khaak udaaoon kis kay liyay

Nasir Kazmi

Y

*Ye bhee theek hai wo chala gaya mujhe bund raaste per choor ker
Ye bhee theek hai na aaye ga kabhi butt aana ka toor ker
Wo judaa bhee kaise hoay ke mae koii rasm bhee na nibha saka
Na mae pas us ko bula saka na mae dil ki baat bata saka *

Koi Nazar Bhi Uthe Us Pe, Dil Dharak Jaye
Mein Us Se Pyaar Karun Apni Aabroo Ki Trahn

*Hum hii mein thee na koii baat yaad na tum ko aasakay
Tum ne hamien bhula diya hum ne tumhien bhula sakay *

Yaro mujhay maf karna main nashay main hoon
Ab do tow jaam khali hai, main nashay main hoon

N

*Najanay koun sa wo bud-naseeb lamha tha
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap *

**paao.n ke zaKhm hai.n farsh-e-gul-e-tar hone tak
raah dushvaar hai aaGaaz-e-safar hone tak

ye alag baat ke Khaamosh hai.n ahal-e-zindaa.N
varnaa ye qaid hai diivaar me.n dar hone tak**

Kabhi hairat, Kabhi Masti, Kabhi Aah-e-Seh'r Gaahi!
badaltaa hai hazaaroN Rung meraa dard-e-Mehjoori!

YEh

PS: Weird I always end up after KoiDost and more amazing is the fact all three shairs I have shared are the first three shairs of one of the Iqbal's poem in Baal-e-Jibreel.. Too much of conincidence I must say but very pleasent :)