BaitBazi Month of January ....2009

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Yaqeen hain mujh ko na milnay aaye ga koi
tu phir yeh dil ko meray intezar kaisa hai

"Ye"

Yay sardiyooN ka udaas mousam keh dharkanaiN barf ho gai haiN
Jab in ki yakhbastgi parakhna, tamazataiN bhi shumaar kerna
Tum apni mohobatooN kay kisay zaroor likhna wazahatooN say
Jo meri aankh maiN jal bujhi haiN wo khwahishaiN bhi shumar kerna

" Alif "

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Abhi to khushak musam hai barish ho to soochain gay
k hum nay apnay armanoo ko kiss mati main bona hai

Yey

Youn laga mujh ko naay saal ka pehla lamha
Zard sheeshay pay koi phool gira ho jaisay

" Yay "

Re: BaitBazi Month of January ....2009

ye kia howa k bheray asmaan kay angaan say
Bicher gaya jo sitara humaray naam ka tha
baraha kay us say rah-o-rasm ab ye soochtay hain
wohi buhat tha jo rishta Dua Salam ka tha

Alif

Re: BaitBazi Month of January ....2009

apne hathon se u chehre ko chupate q ho
mujh se sharmate ho to samne ate q ho

tum kabhi mere tarha ker b lo ikarar-e-wafa
pyar kerte ho to phir pyar chpate q ho ...

"WAO"

Wo jo meray naam ki qasmaiN khaya kertay thay
Wo jo chal ker meray paas aaya kertay thay
Ab wo kehtay haiN kay bhool jaoo humaiN
Hum bhi faqt tumhara dil behlaya kertay thay

"Yay"

Re: BaitBazi Month of January ....2009

ya rab ghum-e-hijraan main itna to kia hota
Jo hath jiger pay hai woh dast-e-dua hota
Umeed to bandh gati taskeen to ho gati
wada na wafa krtay wada to kia hota

Alif

Re: BaitBazi Month of January ....2009

:@:

Re: BaitBazi Month of January ....2009

aankh se dur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

"alif"

Ujar ujar k sanwarti hai teray hijr ki shaam
Na pooch kaisay guzarti hai teray hijr ki shaam

"meem"

Re: BaitBazi Month of January ....2009

main zindaa thaa ki tera intazaar Khatm na ho
jo tu milaa hai to ab sochataa hun mar jaaun

"noon"

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Na ye shabnam hai na bikhre huve taron ka hujoom
raat kii laash pe tapkayy hain aansoo seharr kayyy..

Yeh

Yaro naye mosam ne ye ahsan kye hey

Ab yad mujhe dard purane nahi aatey

Yeh

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Yuun Bhi Nahi Ke Meray Bulanay Se Aa Gaya
Jab Reh Nahi Saka To Bahanay Se Aa Gaya

'Alif'

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Usse khatra hai sirf aik fasl-e-gull ka
khizaan ko kis qadrr aasoodgii haiii..

Yeh

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Ye chandni, Ye raat, Ye mosam, Ye aab-ju
Ay dost aa bhi ja keh, tabiat nadhaal hay
Marna teray baghair bhi imkaan main nahi
Jeena teray baghair bhi kaar-e-mahaal hay

  • Ye +

Re: BaitBazi Month of January ....2009

**Yaad ata hai roz wa shub koi

Hum se ruta hai bey subab koi

Yeh**

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Ye Kia Jageh Hai Dosto'n Ye Konsa Dyaar Hai
Had-e-Nigaah Tak Jahan, Ghubar He Ghubar Hai

'Ye'

Re: BaitBazi Month of January ....2009

Yeh kahan ki dosti hai k banay hain dost naseh
koi charasaz hota koi gham gusar hota

"alif"