Re: BaitBazi Month of January ....2009
Uss Ne Hansi Hansi Main Muhabbat Ki Baat Ki
Mainay Adeem Uss Ko Mukarnay Nahin Dia
'Alif'
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Uss Ne Hansi Hansi Main Muhabbat Ki Baat Ki
Mainay Adeem Uss Ko Mukarnay Nahin Dia
'Alif'
Re: BaitBazi Month of January ....2009
agar yon hi ye dil sataataa rahegaa
to ik din meraa ji hi jaataa rahegaa
Khafaa ho ki ai "Dard" mar to chalaa tu
kahan tak gham apanaa chupaataa rahegaa
"alif"
Itna aasaaN to nahi bhoolna pamali - e - dil
Gher ki weeraniyaaN basnay maiN zara waqt lagay
Tab ki baat or thi wo sath tha aagay aagay
Rasta dhoond kay chalnay maiN zara waqt lagay
" Yay "
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Ye badalti qaderain hi hasil-e-zamana hain
baar baar mazi kay yoon warq na ulta ker
Ray
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Raaz Ro Ker Na Apna Bataya Karo
Muskura Ker Ghamo'n Ko Chhupaya Karo
'Wow'
(Ahmer)
Re: BaitBazi Month of January ....2009
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa
"alif"
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Apna Kaam Hai Sirf Muhabbat Baqi Uss Ka Kaam
Jab Chahay Wo Roothay Hum Se, Jab Chahay Mann Jaye
'Ye'
Re: BaitBazi Month of January ....2009
ajab khawahishain see uthti hain hamaray dil main
kar k muna sa hawaon main uchalain tum ko
"wow"
Wo mujhay bhoolnay ki fiker maiN hai
Yay meri fatah hai shikist nahiN
**
"noon"**
Re: BaitBazi Month of January ....2009
nigahon me tum ho, khayalon me tum ho,
yeh jannat nehi hai to phir aur kya hai!
'YE'
Yay lamhooN ki nahi hai yay sadiyooN ki musaafat hai
Kisi ki yaad ka sehra, mohobbat humsafer meri
" Yay "
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahin Kertay
Malaal Kion Nahin Hota, Malaal Hota Hai
'Ye'
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Yeh kahan ki dosti hai k banay hain dost naseh
koi charasaz hota koi gham gusar hota
Alif
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Ay Baad-e-Saba Kuch Tum Ne Mehmaan Jo Aanay Walay Hain
Kaliyan Na Bichhana Raho'n Main, Hum Palkain Bichhanay Walay Hain
'Noon'
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Na poocho zindagi kitni karri hay
Kisi ki yaad seenay main garri hay
Chalay aataya tumharay paas lakin
Judaai rasta rokay kharri hay..
"ye"
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Ya mujhey afsar-e-shahana banaya hota
Ya mera Taj gadayaana banaya hota
Apna diwana banaya mujhey hota tu ney
kiyouN khirad mund banaya na banaaya hota
Ek khawaab hai us khwaab ko khona bhi nahi hai
Tabeer kay dhagooN maiN piroona bhi nahi hai
Lipta hoa hai dil say kisi raaz ki trha
Wo shakhs jis ko mera hona bhi nahi hai
" Yay "
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Youn hi ik aam si larki hay k mehfil main
Sab main shamil bhi, nazar sab say judaa bhi aaye
"ye"
Re: BaitBazi Month of January ....2009
Yunhi Mausam Ki Adaa Dekh Ke Yaad Aaya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jatay Hain Insaa'n Janaa'n
'Noon'
Re: BaitBazi Month of January ....2009
nahin nigaah mein manzil to justajuu hi sahi
nahin visaal mayassar to aarazuu hi sahi
na tan mein Khun faraaham na ashk aankhon mein
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hi sahi
"ye"