Bait Bazi

Re: Bait Bazi

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo

Re: Bait Bazi

Woh bhi hum ko toot k chahtey
Hum itny bhi "Anmool" na they

Re: Bait Bazi

yehi kaha tha meri ankh dekh sakti hy...
tou muj py toot para sara shehar-e-nabeena...

Re: Bait Bazi

Na Jaane Uske Dil Mein Mehfilein Abaad Hon Kitni
Akela Jo Bhi Baitha Hai, Usko Tanha Mat Samjho

Re: Bait Bazi

"Wo **tou khushbu **hai, **hawaon main bikhar jaye ga
Masla phool ka **hai, phool kidher jayega?"
********

Re: Bait Bazi

Jane Kitne Hi Khuwab Dafna Chuka Hoon Is Dil Mein
Ab To Lagta Hai Jese Khud Hi Ek Qabrastan Hoon Main

Re: Bait Bazi

:eek: :eek:

Re: Bait Bazi

**Meray kamsukhan ka yea hukm tha, kay kalam us say main kam karoun
Meray hoont aesay silay ke phir, meri chup nay us ko rula dia

daal/alif
**

Re: Bait Bazi

wht does "kamsukhan" mean ?

Re: Bait Bazi

Dard itna hai keh rag rag mein hai mehshr brpaa
Aur sukoon itna hai k marr janey ko g chahta hai

Re: Bait Bazi

Kamsukhan = Taciturn ..

Taciturn= tending to be silent and uncommunicative, reticent

Re: Bait Bazi

Yeh dars-e-Aw'waleen mila mujh ko meray buzurgon say
Buhat chotey hain woh loag jo auroun ko chota samajhtey hain

Taken from GS.

Re: Bait Bazi

**hai iKhtiyaar mein tere to mojazaa kar dey

vo shaKhs meraa nahin hai usey meraa kar dey

daal/yeh
**

Re: Bait Bazi

Dosto! Wo din gay, ab ye hamakat kon kerta hai??
Wo kia kahty hain usko? Haan,,mohabbat kon krta hai!!

Re: Bait Bazi

Yeh Mizaj-e-Yaar Ko Kia Hua, Unhen Mujh Se Pyar Hai Ajj Kal..
Meri Justaju Meri Guftagu Mera Intezar Hai Ajj Kal… !!

Re: Bait Bazi

‎Kal Rat Maine Apne Dil Se Bhi Taluk Torr Diya Mohsin
*Kambakht usy Bhool Jane Ki Bat Karta Tha

Re: Bait Bazi

Ik Tera Hijar Hy Kay Phailayye Rakhta hy Har su Tairgee
Ik teri Yaad Hy Kay Jalaye Rakhti hy Maire Jaan Ka Chiragh..

Re: Bait Bazi

**Ghazab kiyaa tere va'de pe ai'tabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa

***DaaGh Dehlavii*

Re: Bait Bazi

very nyc

Re: Bait Bazi

Gazab Kiyaa Tere Waade Pe Aitbaar Kiyaa
Tamaam Raat Qayaamat Kaa Intezaar Kiyaa

Hansaa Hansaa Ke Shab-e-Wasl Ashq-Baar Kiyaa
TasalliyaaN Mujhe De De Ke Beqaraar Kiyaa

Hum Aise Mahv-e-Nazaaraa Na Thhe Jo Hosh Aataa
Magar Tumhaare TaGaaful Ne Hoshiyaar Kiyaa

Fasaana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahaani Thhee
Kuchh Aitbaar Kiyaa-Kuch Naa Aitbaar Kiyaa