Re: Bait Bazi
Gazab Kiyaa Tere Waade Pe Aitbaar Kiyaa
Tamaam Raat Qayaamat Kaa Intezaar Kiyaa
Hansaa Hansaa Ke Shab-e-Wasl Ashq-Baar Kiyaa
TasalliyaaN Mujhe De De Ke Beqaraar Kiyaa
Hum Aise Mahv-e-Nazaaraa Na Thhe Jo Hosh Aataa
Magar Tumhaare TaGaaful Ne Hoshiyaar Kiyaa
Fasaana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahaani Thhee
Kuchh Aitbaar Kiyaa-Kuch Naa Aitbaar Kiyaa