Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

yea dukh k nohay yea sukh k naghmay
jo kal meray thay wo ab teray hain

Noon

Re: Bait Bazi ..

na mizaaj abr-e-karam ka hai na elaaj barish-e-ghum ka hai
tere dosti ko main kia karo'n jo na dohp ke hai na chaho'n ke


:YEH:

Re: Bait Bazi ..

yea muhabat b hay kia roog FARAZ
jis ko bhoolay wo sada yaad aya

Alif

Re: Bait Bazi ..

agar jana ho to qadmo'n kay nishaa`n bhi sath lay jana
tumhare yaad main taktaa raho ga rah-e-guzar kab tak


:KAAF:

Re: Bait Bazi ..

lagta hay kafi talash karnay k baad mila hay yea shair "YEH" say jaan churhanay k lyiay :D
**
Kuch larhkiyan anjaam nazar hotay howay b
jab ghar say nikalti hain to socha nahi kartien
**

NooN

Re: Bait Bazi ..

haha you can say that =DD

nikal paray hain anso jub yaad tumhare ate hai
yeh woh barsaat hai jiska koi mosam nahi


:Noon-guna:

Re: Bait Bazi ..

:D

najanay kin ghum k jugno,aon ko chhupaiay phhirti hay muthiyoon main
kaiee dinoo say udaaas rehti hay aik larhki sahailiyoon main

NooN

Re: Bait Bazi ..

this is the only sher i can think of =S

na soucha tha yeh dil laganay say pehlay
kay totay ga dil muskarany say pehlay

:YEH:

Re: Bait Bazi ..

Nice one

yea jantay hain k teru fitrat waja say na aashna hay phir b
teri terf say lagaiay rehtay hain apnay dil ko tasaliyon main

Noon Again

now i gtg abi nashta tayar karna hay mujay apnay and bahi k lyiay see u latter after 40 minutes INSHALLAH
ALLAH HAFIZ

Re: Bait Bazi ..

thankewwww =)

naam wafaa ka lay kar jo detaa rahaa dagaa
kyon uskay intzar main tamana tehar gaye

see you after 40 min.. Allah Hafiz =)

Re: Bait Bazi ..

Welcome

Yaad aya tha bicharhna tera
phir nahi yaad k kia yaad aya

Alif

Re: Bait Bazi ..

=)

aaj to bay-sabab udaas hai dil
ishq hota to koi baat bhi thee


:YEH:

Re: Bait Bazi ..

Yahi dil tha k tarsta tha marasim k lyiay
ab yahi tark-e-taluq k bahanay mangay

Ye

Re: Bait Bazi ..

yeh kisza`n ke zard se shaal main jo uddaas payr ke yaad hai
yeh tumharay ghar ke bahaar hai, isay anso`n say hara karo


:WAOO:

Re: Bait Bazi ..

I have to leave now.. was really fun with you IS =) .. inshAllah phir kese din .. Allah Hafiz

Re: Bait Bazi ..

wo teray aasman ko kia karti
jis ke matti say dosti nikli

Ye

Re: Bait Bazi ..

Oki sister
INSHALLAH
take care
be happy be smile always
ALLAH HAFIZ

Re: Bait Bazi ..

**
Ye jo meiN ne taza ghazal kahi, so hay nazar ehal-e-firaaq ki
Keh na mil saka koi nama-e-bar mujhey merey yaar kay shehar ka
so mataa-e-jaaN ko liye hovey palaT aaye terey girafta-e-dil
kaisey bechtey keh mila nahiN koi etbaar kay shehar ka
**

Re: Bait Bazi ..

na tun main khoon furaahum na ashk aankhon main
namaaz-e-shooq to waajob hay baywuzzo hi suhi

Re: Bait Bazi ..

**
YaaroN ka ziker kya keh wafa ki talaash maiN
hum ne tou dushmanoN ko bhi dil maiN basa liya
**