Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

*ujaar ujaar k guzartii haii tere hijR kii shaam
na poch kaise guzartii haii tere hijR kii shaam
ye burg burg udaasii bikheR rahii haii merii
k shaakh shaakh utertii haii tere hijR kii shaam *

Re: Bait Bazi ..

*Meri umer se na simatt sake, mere dil mei itne sawaal the
tere paas jitne jawaab the, teri ik nigaah mei aa gaye
*

Re: Bait Bazi ..

yea patharoon ke terha kyo udaas rehta hay
mujay yaqeen hay dil is ka aaiena ho ga

alif

Re: Bait Bazi ..

*ay shaam mujhe tum kuch na kaho is baar mera dil toota haii
ya jee na sakoN wo baat kaho is baar mera dil toota haii *

Re: Bait Bazi ..

Yoo'n galat tu nahi chehroan ka ta'surr bhi magar
log waise bhi nahi jaise nazar aatey hain

Re: Bait Bazi ..

naha gia tha mai kal jugno-aon ke barish main
wo meray kanday pay sar rakh k khoob roiee thi

Ye

Re: Bait Bazi ..

Ya Rab! humein bahks day saliqa wafa ka
yeh souch kar hath duaa ko uthay hoay hain


:NOON guna:

Re: Bait Bazi ..

Noon Guna se aik shair khudh tou sunana :hoonh:

nagree nagree phiraa musaafir ghar kaa raasta bhoul gayaa
kia hai teraa kia hai mairaa apnaa parayaa bhoul gayaa

Re: Bait Bazi ..

*
Udaas shaameiN, ujaaR rastey kabhi bulaieN tou louT aana
kisi ki aankhoN maiN ratjagoN kay aazab aayeiN tou louT aana
*

Re: Bait Bazi ..

^^ Nice one of my fav. shair of one of my fav. ghazal of farhat abas shah
Ujalay apni yadoo k hamaray sath rehnay doo
na kiss gali mai zindgee ke shaam ho jaiay

Ye

Re: Bait Bazi ..

yeh ghalat kaha kese nay humein gul ke arzo hai
jo khabhi chupa tha dil main wohe khaar dohndtay hain

:NOON GUNA: :stuck_out_tongue:

hehehe =DD noon guna and noon is almost the same thing :rolleyes: =p

Re: Bait Bazi ..

I dont Know I have posted it Before or not… :bummer: As its one of my Fav tou.. Arz hay…
Agar Alrady Post kar chuka hooN tou… Advance maiN sorry :snooty:

NaheeN NaheeN ..! Ye khabar DushmanooN ne di hogi.
Wo Aye… Akay chalay bhi gaye… Milay bhi naheeeN
:rolleyes:

Noon GhunaaN again :wink:

Re: Bait Bazi ..

nahi karta Intazaq Waqat! kesi ka
mai waqat ke is rawish ko badalna chata hoon

Noon Ghunaan Again :hehe:

Re: Bait Bazi ..

*
NazreiN sab kehti sunti theeN hum donooN chup rehtey thay
Dou nazroN ka aisa naata toota tha kab janey do
*

Re: Bait Bazi ..

*Wo chala aya khayaloa'n mei hina ki soorat
rang deta tha usse aur mei pathar thehra
*

Re: Bait Bazi ..

*ay ehed-e-murawat k saathii taskeen merii bus is mien haii
tum jub ye suno tu aah bharo! is baar mera dil toota haii *

Re: Bait Bazi ..

yea nahi k sirf ankhien buj gieen
dil pay us ke maiharbani ayr hay
wo sukhan na-ashna to hay magar
ik ghazal us ko sunani ayr hay

Ye

Re: Bait Bazi ..

Yaar to yaar hain ab aghiar bhi mehfil main
main tera zikr na chairoon to bura maante hain.

noon ghuna

Re: Bait Bazi ..

na shikaayate.n na gilaa kare
ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kare

kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar ha.Nsaa kare

merii qurbate.n merii chaahate.n
ko_ii yaad kare qadam qadam
mai.n taviil safar me.n huu.N agar
merii vaapasii kii duaa kare

Re: Bait Bazi ..

*
Ye na ho uss ki yaadeiN rooh ka sartaan ban jaaieN
kabhi hadh se zayada tum ussey socha nahiN kerna
Mohabbet maiN shikayat ka kahaN dastor hota hay
gila ker kay mohabbet ko kabhi ruswa nahiN kerna
*