Re: Bait Bazi ..
agr hum waQaii kum-hosla hote mohabbat mein
marz barhne se pehle dawa tabdeel ker lete
**
Kamo uncle
**
Re: Bait Bazi ..
agr hum waQaii kum-hosla hote mohabbat mein
marz barhne se pehle dawa tabdeel ker lete
**
Kamo uncle
**
Re: Bait Bazi ..
Yeh aur baat hai ke ansoo thay apni aankhon mein
Werna jatay huwe hum bhi muskuraaye thay bahut..... :P
Re: Bait Bazi ..
teray b mashwaray shamil thay tark-e-khawahish main
aay meri wehshat-e-dil, ab yea iztaarab hay kia
alif
Re: Bait Bazi ..
uskay rastay main kahree kion koi dewaar karay
saray wadao'n ka bahrm woh pal main tor gaya
:ALIF:
Re: Bait Bazi ..
true ![]()
Re: Bait Bazi ..
*Ank se door na ho dil se uthar jay ga
waqt ka kya hai guzartha hai guzar jai ga.
Itna manoos na ho haluth-e-gham se apne
tu kabhie kudh ko dekhe ga to dar jay ga.
*
Re: Bait Bazi ..
*usse gunwa k mae zinda hoon is tarah ~Mohsin~
k jaise taiz hawa mien chiraaghh jalta haii *
Re: Bait Bazi ..
ye mazaa tha dill-lagi ka k barabar aag lagti
na tujhay qaraar hota na mujhay qaraar hota
alif
Re: Bait Bazi ..
**
Usse ~Faraz~ ager dukh na tha bichaRney ka
tou kiyoN woh dair talak dekhta raha mujhey
**
Re: Bait Bazi ..
ye jaantay hain k teiri fitrat wafaa se na-ashna hai phir b
teri taref se lagaaye rekhtay hain apnay dil ko tasalion mein
Re: Bait Bazi ..
**
Na tha shair se koi waasta, na tha shairi se meiN aashna
terey dard ney, teri yaad ne, mujhey shair kehna sikha diya
**
Re: Bait Bazi ..
ab nahi ayay ga phir lout kay anay wala
roz dahleez pay tum deep jalate kion ho
:WAOO:
Re: Bait Bazi ..
wo jo lagti thi kanch ke gurhiya
zarab parhnay pay aahaini nikli
YE
Re: Bait Bazi ..
****yeh souch hai! agar yaqeen hota palat kar teray aanay ka
to pohlo'n ke trha hum bhi tere rah main bikhar jatay
;YEH:
Re: Bait Bazi ..
ye ankhaein khawb dekhati hain us bashar k mujhy
jo dekhta b nahi nigaah bher k mujhay
main saari umr mohabat ki aarzoo na kroon
ager simatna sikha de koi bikher k mujhay
Re: Bait Bazi ..
yea sabi loog kiss lyiay muj main
us ka chehra talash kartay hein
"Noon"
Re: Bait Bazi ..
**
Na janey kiyoN dil ko ye ehsaas hota hay
tu nahiN hay paas phir bhi paas hota hay
iss dil-e-nadaaN ne tujh ko chaha bhi bohat hay
terey hi dam se tou zindigi ka ehsaas hota hay
**
Re: Bait Bazi ..
yonhi chalti rahoo mien ankh lagi hay faqat
bheerh logoon ke hata do kay mein zinda ho abi
Re: Bait Bazi ..
**
Apna manzil pe pohanchna moejzey se kum nahiN
rah-guzar pather ki hay, humsafer sheeshay ka hay
**
Re: Bait Bazi ..
yahi bohat hay k in laboon ko sada say mehroom kar k rakh doon
magar yea kesi masalaihat hay sumandaroon ko sarab likhoon
NON