Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

*yaaroN ka kia ziQr k wafa ki talaash mien
hum ne tu dushmano
N ko bhee dil mien basa liya *

"alif"

Re: Bait Bazi ..

^^ kia howa mai nay kia kiya hay :bummer: aina gusa kyo rahi rahi ho aap par :crying:

Re: Bait Bazi ..

ab to ham hain jagnay walay teri khatir yaha
ham na hoon gay to teray sham-o-sehar daikhay ga koon

Re: Bait Bazi ..

jaise hi mae ne shairr post kia “alif” se aap ne bhee ker diya :mad:

*na tha shairr se koii vaasta, na tha shayrii se mae aashna
tere durd ne terii yaad ne mujhe shairr kehna sikha diya *

Re: Bait Bazi ..

is mai mera kia kasoor hay mujay kia pata k aap b post kar rahi hain :bummer:

aanhdiyon k mosem mai is terha to hota hay
khushboaon k pholoon say rabtay to totain gay

Re: Bait Bazi ..

^ chalien maaf kia :p

*ye ajeeb marhalay hien, ye ajeeb silsilay hien
k jahaN se hum chalay thay, ussi moor pe khare hien *

"noon"

Re: Bait Bazi ..

sukar hay apa nay maaf kar diya ab next time say bata digiay ga k aap post karnay wali hain :mocking:

naam lay lay ka na mera shaihar ke nazroon main aa
muj say milna hay to meray dil k sehraoon main aa


Alif

Re: Bait Bazi ..

sukar hay apa nay maaf kar diya ab next time say bata digiay ga k aap post karnay wali hain :mocking:

naam lay lay ka na mera shaihar ke nazroon main aa
muj say milna hay to meray dil k sehraoon main aa


Alif

Re: Bait Bazi ..

aisee kahan the ahl-e-dil,itne kahan kharab thay
hum bhi kissi ki aass thay,hum bhi kissi ka kawab thay

=>yeh

Re: Bait Bazi ..

yea khamoshi to meray dil ke divarain gira day ge
muhabat ho na ho par lab hila aaiesta aaiesta

Re: Bait Bazi ..

^^^sher tou cute hai per ghalat cage mein aa gaya

Re: Bait Bazi ..

ops sorry theak kar diya ha mai nay

Re: Bait Bazi ..

urtay urtay aAs ka panche door afaq main doob gaya
rotay rotay bayht gayee awaz keese soodayee kee

:YEH:

Re: Bait Bazi ..

yuuN dekhti hai gumshuda lamhoN k morde sai
is zindagii se jaise koe vaasta na tha

cheharooN pai jam gaee thein KhayaloN ke ul'jhanhaiN
lafzoN ke justajuu meiN koi boltaa na thaa...

Re: Bait Bazi ..

bohut khoob^


use say pochay koi dashat ke rafaqat jo
jub aankh kohlay, paharoo'n ka silsila dekhay


:YEH:

Re: Bait Bazi ..

thanks .. :)

yeh baazgasht hai awaz-e-dost ke verna
vo shaks lout kai aaya hota tou milgiya hota

Re: Bait Bazi ..

**acha hamain bantay huay mit-tay huay dekho **
hum mauj-e-gurezaa'n hi sahi aab-e-rawaa'n ki

:YEH:

Re: Bait Bazi ..

phir se yeh… :bummer:

ya rub meray naseeb ka-…koi faisla tou kay
main youn hi doob jaoon ya sahil bhi aaeyga … . :frowning:

Re: Bait Bazi ..

ok now more "yeh's" =p


aaj us nay dard bhi kar liyay judaa
aaj main roya to woh meray sath roha na tha

:ALIF:

Re: Bait Bazi ..

:hehe:

ab chalo yeh ishrate-e-ehsaas bhi ganeemat hai ,
Kay jissey yaad karon woh bhi sochta hai mujhey… :halo:… cheating mode ON