Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

yunhi udaas reha main tou dekhna ik din
tamaam sheher mein tanhayaan bichaa dun ga

Re: Bait Bazi ..

**
Akelay kiss se uTha hay taalluqaat ka boojh
woh tum ko yaad na rakhey tou bhool jana usse
meiN keh raha tha keh raah-e-wafa kathen hay bohat
mager bichaRney ka yaad aa gaya bahana usse
**

Re: Bait Bazi ..

yahi na ho k musalsalwafa thaka dhalay
muhabtoon mein naiya pan talash kar lana

ALif

Re: Bait Bazi ..

Agar koi pochey meri zindagi kia hay~~~~~~
Hatheli per zara se khak rakhna aur ora dena

alif

Re: Bait Bazi ..

abi to saray he mosem tumharay hath mein hain
abi tumhien nahi maloom ihtaisaan kia hay

ye

Re: Bait Bazi ..

yaad kar kay aur bhi takleef hote thee *adeem*
bohl janay kay siwa ab koi bhi chara na tha


:ALIF:

Re: Bait Bazi ..

*andherii raat mien rehte tu kitna acha tha
hum apnii zaat mien rehte tu kitna acha tha
dukho`N ne baant lia hai tumhare baad hum ko
tumhare haath mien rehte tu kitna acha tha *

"alif"

Re: Bait Bazi ..

Nashay se kam tou nahi yaad-e yaar ka alim
ke lay ura hai koi dosh par hawa ke mujhay

wah wah wah
taliyan

Re: Bait Bazi ..

**
Ye dil bohat udaas hay jub se khaber hovii
milta hay woh khuloos se har ajnabi kay saath
**

Re: Bait Bazi ..

  • hum ko zamane ne gustaakh banaya haii ~sahil~ hum tu yuN chup they k tasveer howa kerte thayy itna acha tu na tha naam hamara lekin hum tere haath pe tehreer howa kerte thayy *

"yeh"

Re: Bait Bazi ..

ye or baat k sherminda-e-taabeer na hon
her zehn mein kuch taaj mahal hotay hain

Re: Bait Bazi ..

*na sawaal sood-o-zayaaN ka ker, haii wo kia jo mujhe ko mila nahii haii
mere hum-safaR tu yaQeen ker mujhe tujh se koii gila nahii haii *

Re: Bait Bazi ..

yea pehlay soch loo phir ayr bee tanha na ho jana
usay chonay ke khawahish mai usay panay ke koshish main

Noon

Re: Bait Bazi ..

naiya mosem meri binaieeko tasleem nahi
meri ankhoon ko wohi khawab purana la day
jis ke ankhain mujay andar say b parh sakti hon
koi chehra to meray shaihar meinaisa la day

Ye

Re: Bait Bazi ..

Yeh aur baat keh Shama-e-Mehfil tehi Saamney
Warna tera Har She'r par Ishaara kar keh Kehna Yeh!

Heh

Re: Bait Bazi ..

*haii nigah mien merii aaj tuk woh nigah koii jhukii hoee
wo jo dhiyaaN tha kissi dhiyaaN mien waheen aaj bhee haii laga howa *

"alif"

Re: Bait Bazi ..

aur kuch deir na guzray,shab-e-furqat se kaho
dil b kum dukhta hai,wo yaad b kum aatay hain

Re: Bait Bazi ..

**
nikal paRtey haiN aansoo jub tumhari yaad aate hay
ye woh barsaat hay jiss ka koi mousam nahiN hota
**

Re: Bait Bazi ..

aisa darya jo kesi ayr sumandar main giray
is say behtar hay k mujko mera sehra la day

Re: Bait Bazi ..

^ :mad: