Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

**
NeendeiN meri aankhoN se churata hay wohi shakhs
so jaaoN tou khuabooN maiN bhi aata hay wohi shakhs
har zakham ka khaliq bhi koi aur nahiN hay
har zakham pe marham bhi lagata hay wohi shakhs
**

Re: Bait Bazi ..

Saaf zaahir hay nigaahon sey ke hum martey hain
muNh sey kahtey huwey ye baat magar dartey hain
sher kahtey ho buhat Khuub tum "Akhtar" lekin
achey shaayar ye sunaa hay ke jawaaN martey hain

Noon''

Re: Bait Bazi ..

*na hareef-e-jaaN, na shareek-e-ghum, shab-e-intezaaR koii tu ho
kisse bazm-e-shouQ mien layien hum, dil-e-be-Qaraar koii tu ho *

Re: Bait Bazi ..

Wuh khayaal tha koi dhanak-numa ya koi aks tha merey rubaru
jo mujhay har taraf sey tou lagaa wuh tu hi tha ya koi hubahu
bayaan mein thi wuh chashni keh mehak rahaa thaa harf harf
jaesey khushbuoN kii zubaan mein koii kar rahaa ho guftagoo

wao''

Re: Bait Bazi ..

  • wo mera ho ker bhee mujh se mehroom raha kia koii merii tarah jeet ker haara ho ga *

Re: Bait Bazi ..

apnay gharon mein rishton ka chahay sakoon na ho
Auron kii zindage mein khala dhontay hain log

*Gaaf'' *

Re: Bait Bazi ..

**
Gaye lamhat fursat kay kahaN se dhoond ker laa`oN
woh pehrooN haath per likhna mohabbet mar nahiN sakti
**

Re: Bait Bazi ..

Ye raaz_e bahaar_e gulshan hai, iss raaz ko samjhey kiya koi
shabnam ko rulaya phooloa'n ne ya raat ko shabnam khud roi

Re: Bait Bazi ..

*
ye jo mae ne taza ghazal kahii su hai nazaR ehl-e-firaQ kii
k na mil saka koii nama-bar mujhe mere yaar k shehR ka*

Re: Bait Bazi ..

Agar chup chaap tum dekho tu damm araam se nikle
idher hum hichki lete hain, udher tum roney lagtey ho

Re: Bait Bazi ..

wo jis qader munafiq tha per ye kehta tha
bicherna hum se mager phir b silsillay rekhna

Re: Bait Bazi ..

issay gunwa ke paanay ka shouq tou iss dil mean yun hai
jaisay pani pe daa,era sa koi banay tou kuch na paa,ey

Re: Bait Bazi ..

**
Yehi bohat hay keh betha hay sar jukaaye
mujhey ujaaR kay woh shakhs sharamsaar tou hay
**

Re: Bait Bazi ..

yea na samjo k tal rahi hay shaam
apnay taiwar badal rahi hay shaam

tum nahi aaiay ayr us din say
meray sinay mien jal rahi hay sham

"meam"

Re: Bait Bazi ..

**
MeiN raiza raiza hova, meiN bikher gaya chup chaap
terey firaaq ka mousam guzar gaya chup chaap
kisi ne kaan na meri sadaaye-e-dil pe dharey
merey wajood maiN aik shakhs mar gaya chup chaap :-(
**

Re: Bait Bazi ..

paspa howay tanhiee ke yalghar say jab b
ham shaihar mein awara phiray raat gaiy tak

"kaaf"

Re: Bait Bazi ..

*
kabhii yun bhee ho tere ru-baruu, mae nazaR mila k ye keh sakooN
merii hasraroN ka shumaar ker, merii khwahishoN ka hisaab de *

"yeh"

Re: Bait Bazi ..

yaad karay jab muj ko tairi tanhiee
daikha karna guldano ko shaam k baad

"Daal"

Re: Bait Bazi ..

*
dil k gharondoN ki karchiyaN uthatay uthatayy
zakhmii hatho`N mien subh se shaam hoee*

Re: Bait Bazi ..

yea jo tum say main anjaan banba phirta hoon
sari baat esi anjaanay pan mein hay

"Ye"