Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

**
Hum se mohabbettoN ki numa`ish na ho saki
haaN itna jaantey haiN, tumheiN chahtey haiN hum
**

Re: Bait Bazi ..

**
Maosam ko ishaaroN sey bula kiuN nahi letey
roottha hey agar wo to manaa kiuN nahi letey!

"ye"
**

Re: Bait Bazi ..

**
YooN ghalat tou nahiN chehroN ka taa`sur lakin
loog waisey nahiN jaisey nazar aatey haiN
**

Re: Bait Bazi ..

**
Na ye gham naya na sitam naya ke teri jafaa ka gila kareiN
ye nazar thi pehley bhi muztarib, ye kasak to dil meiN kabhu ki hey

"ye"

**

Re: Bait Bazi ..

**
YooN hi faaslooN ko sajaaye rakh, yehi intezaar rehney dey
merey zehn-o-dil kay sukoon per mera ikhteyaar rehney dey
teri bey-basi bhi baja sahi, meri khuahish bhi ghalat nahiN
tujhey har qadam pe khushii miley, mujhey so-gawaar rehney dey
**

Re: Bait Bazi ..

Yeh dehn zahm ki soorat he mery chehrey par **
**ya mery zahm ko bhar ya muje goyaai day

itna besarfa nah jaye mery ghar ka jalna
chashm-e-giryaaN nah sahi chashm-e-tamashai day

Re: Bait Bazi ..

**
Ab ye socha hay apni zaat maiN simtey raheiN
hum ne ker kay dekh li sub se shanasaayi bohat
apna saaya bhi juda lagta hay apni zaat se
hum ne uss se dil laganey ki saza paayi bohat
**

Re: Bait Bazi ..

Naheen hai saya, ke sunn kar naveed-e-muqqadam-e-yaar
**Gaye hain chund qadam payshter dar-o-deewaar

(Ghalib)
**

Re: Bait Bazi ..

Ruuh bujh gayi, aankh jal gayi jaisey
ik dil ki werani sab nigal gayi jaisey
dhoop kay zamanoon mein aitbaar ka mousam
moom ki haqeeqat thi, yoon pighal gayi jaisey

Re: Bait Bazi ..

**
Ye meri wafa ki haiN wehshateiN, mujhey ekhtiyaar-e-junooN nahiN
jahaaN naam hum ne tera suna, waheeN apney sar ko jhuka diya
**

Re: Bait Bazi ..

alfaz ki sorat main sakon mang lo mujh say
ehsas ka soraj to yahan doob chala hay

:YEH:

Re: Bait Bazi ..

**
Ye zaroori tou nahiN keh aag se jal jaaye basher
baaz logooN ko muqadder bhi jala deitey haiN
**

Re: Bait Bazi ..

Na ghubaar meiN na gulaab meiN mujhey dekhna
merey dard ki aab-o-taab meiN mujhey dekhna
kisi waqt shaam-e-malaal meiN mujhey sochna
kabhi apney dil ki kitaab meiN mujhey dekhna
Alif*

Re: Bait Bazi ..

**
AjnabiyooN se dhoka khana phir bhi samajh maiN aata hay
uss kay liye kya kehtey ho, woh shakhs tou dekha bhala tha
**

Re: Bait Bazi ..

AaNkhaiN baras rahii haiN kay baadaL bharay huey
us bad'gumaaN kay diL meiN ab tak ghubaaR hay

Ye*

Re: Bait Bazi ..

Yeh zindagi hai kay duniya *Faraz kya kejeyay ***
***Kay jis say ishq karo Bewafa nikalti hay
*


:YEH:

Re: Bait Bazi ..

**
Ye baat khass nahiN patharooN ki basti maiN
na pooch toot gaya dil ka aa`iena kaisey
**

Re: Bait Bazi ..

**
Ya Rab wo samjhey heiN na samjheiN ge meri baat
dey aur dil unko jo na dey mujh ko zubaaN aur

"rey"
**

Re: Bait Bazi ..

**
Raah chaltey hovey akser ye gumaaN hota hay
woh nazar chup kay mujhey dekh rahi ho jaisey
aik lamhey maiN simaT aaya hay sadiyooN ka safar
zindigi taiz, bohat taiz chali ho jaisey
**

Re: Bait Bazi ..

Yeah mut pooch keh ehsas-e-hiddat kia hai
Dhoop aisi thi keh saaye ko bhi jaltay dekha
Shiddat e gham maiN meray deeda-e-tar nay Mohsin
Patthroon ko bhi kaee baar pighaltay dekha