Re: Bait Bazi ..
Aa muge daikh ke jise daikh ker aankhain keh dain
hum ne bazar main phirta hoa gham daikha hay
Re: Bait Bazi ..
Aa muge daikh ke jise daikh ker aankhain keh dain
hum ne bazar main phirta hoa gham daikha hay
Re: Bait Bazi ..
**
Ye zaroori nahiN har shakhs maseeha he ho
pyaar kay zakham amanat haiN dikhaya na karo
loog har baat ka afsana bana laitey haiN
sab ko halaat ki rudaad sunaya na karo
**
Re: Bait Bazi ..
Woh akay merey ga'on say wapis bhi ja chuka
May thi kay apnay ghar ko sajanay may reh gaee
Re: Bait Bazi ..
yeh dil kay zakhm nahi yay jigar kay daagh nahi
rahe hayat mein shamyein jala raha hai koi
:YEH:
Re: Bait Bazi ..
ye kia k sab se bayaan dil ki halatein kerni
faraz tujh ko na aaeen mohabatein kerni
yeh...again
Re: Bait Bazi ..
Ye nashist kya hai raah mein, tere zauq-e-ishq ko kya huwa
Abhi chand kaantay chubhay nahee ke sab iraade badal gaye...
Re: Bait Bazi ..
**
Ye dil bohat udaas hay jub se khaber hovi
milta hay woh khuloos se har ajnabi kay saath
**
Re: Bait Bazi ..
Hum wafaieN kar kay raKHtay haiN wafaoN kee umeed
Dosti maiN is qadar saudaagaree bhi jurm hai
Re: Bait Bazi ..
**
Yaqeen hay keh na aaye ga mujh se milney koi
tou phir ye dil ko merey intezaar kaisa hay
**
Re: Bait Bazi ..
Yaad phir aaya woh guzra hua saawan mujh ko
Phir meri aankh nay ronay ka bahana chaahaa
Re: Bait Bazi ..
**
^ nice :k:
Ab ye socha hay apni zaat maiN simtey raheiN
hum ney ker kay dekh li sub se shanasa`ii bohat
apna saaya bhi juda lagta hay apni zaat se
hum ne uss se dil laganey ki saza paayi bohat
**
Re: Bait Bazi ..
tu nay hunr kay sath mitaia nahi mujhay
mujh main to teray aks ke pehchan reh gaye
:YEH:
Re: Bait Bazi ..
**
Yehi nahiN keh humeiN bhi tooR gaya hay koi
usse bhi khud ko bohat deir tuk jooRna hoga
**
Re: Bait Bazi ..
^ beautiful :-)
Unnhi raastoa'n ne jin per kabhie tum the saath merey
mujhe rok rok poocha, tera hamsafar kahaan hai???
Re: Bait Bazi ..
**
ye sooch hay ager yaqeen hote palaT kay terey aaney ka
tou pholooN ki tarha hum bhi teri raah maiN bikher jatey
**
Re: Bait Bazi ..
Ye jo ek shab ka hijaab hay, isse darmiyaan se hatta kabhi
keh tulooh-e-subah ki aarzoo meri kitni neendeiN urra gayii
Re: Bait Bazi ..
yeh fakhar to hoaa hasil bura hai kay bahla hai
do chaar qadam hum bhi teray sath chal diyay
:YEH:
Re: Bait Bazi ..
yehi wafaa ka sila hai, to koi baat nahi
yeh dard tumne diya hai, to koi baat nahi
yehi bohot hai ke tum dekhte ho saahil se
safeena doob raha hai to koi baat nahi
rakha tha ashiyana-e-dil main chupa ke tumko
woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
tum hi ne aina-e-dil mera banaya tha
tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
kise majaal kahe koi mujh ko deewani
agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Re: Bait Bazi ..
Na muhabbatoa'n ka hisaab tha, na adawatoa'n ka shumaar tha
kabhie zaat USS ki azaab thi, kabhie rooh ka WO qarar tha
TU bhi door hai mei bhi door hoon, kyoun alag huey ye raastey
meri chahtoa'n ka gareiz tha, ya TERI ana ka hasaar tha
:-(
Re: Bait Bazi ..
** ^ nice :(
Aa`eina-e-dil khud hi tooRna paRa humeiN
rukh uss se aakhir mooRna paRa humeiN
itnii mohebbet ki kya bataieN hum dostooN
ussi ki khatir uss ko choRna paRa humeiN
**