Re: Bait Bazi ..
Yehi dekh ab keh teray khawaab sab kyon dhal gaey hain saraab mein
Dil-e-bekhabar zaraa hosh kar teray imtehaan abhi aur hain
Noon''
Re: Bait Bazi ..
Yehi dekh ab keh teray khawaab sab kyon dhal gaey hain saraab mein
Dil-e-bekhabar zaraa hosh kar teray imtehaan abhi aur hain
Noon''
Re: Bait Bazi ..
Nah tha kochh to khuda tha, kochh nah hota to khuda hota **
**dboya muj ko honey nay, nah hota mein to keya hota
howa jab ghum say yoon behis, keya ghum sar kay katney ka
nah hota gar juda tan say to zano pe dhara hota
"alif"
Re: Bait Bazi ..
**
Ab kiss se kaheiN aur koun suney jo haal tumharey baad hova
Iss dil ki jheel sii aankhooN maiN ek khuaab bohat barbaad hova
Iss sheher maiN kitney chehrey thay, kuch yaad nahiN sub bhool gaye
Aik shakhs kitaaboN jaisa tha woh shakhs zubani yaad hova
**
Re: Bait Bazi ..
Ankh ab kiss say tahayur ka tamasha mangey
apney honey pe bhi hoti naheen hairat hum ko
koonsi rut he zamaney mein, hamen keya maloom
apney daman mein liye phirti he hasrat hum ko
"wao"
Re: Bait Bazi ..
**
Woh jiss ki aik pal ki bay-rukhi bhi dil ko haar thee
Usse khud apney haath se likha mujh ko bhool ja
**
Re: Bait Bazi ..
Aa jao gay jo halaat ki zad pe kissi din Danish
*ho jaye ga maloom Khuda he keh naheen *
"noon"
Re: Bait Bazi ..
"Ye" "Noon" aur "Wao" ke ilawa bhi soch liya karo........
Is tarha.
**Nafas na Anjuman-e-Aarzoo say bahir khainch
Agar Sharab Naheen, Intazaar-e-Saghir Khainch
(Poet= Mirza Asad ullah Khan Ghalib)
**
Re: Bait Bazi ..
nakhuda se kia poochhtay ho samandar shookta kion hai
ik behr liyay betha hai dil mein ye eezaa pasand
Re: Bait Bazi ..
hum bewafa hargiz na thay
per hum wafa ker na sakay
iss pyar mein, sach jhoot ka
hum faisla ker na sakay
there. all in place...meine H se hi shroo kia
Re: Bait Bazi ..
Yoo hee udas raha tu dekhna ak din
Tamam shahar main tanhiyan becha doon ga
Re: Bait Bazi ..
[quote]
nakhuda se kia poochhtay ho samandar shookta kion hai
ik behr liyay betha hai dil mein ye eezaa pasand
[/quote]
Arther aap nay shayed mairay Shair ka ikhtatam naheen dekha. Woh "Ch" par khatam hota hai...........aap ko "Ch" say shair shooro karna chahiye.
Shukriya.
[centre]Dar-e-khoor-e-arz naheen, johar-e-bay daad ko, ja
Nigah-e-naaz hai surmay say khaffa mairay baad
Re: Bait Bazi ..
**
Dil maiN kitney ehad baandhey thay bhulaney kay usse
Woh mila tou sub iraadey tooRna acha laga
**
Re: Bait Bazi ..
Us din mera dil bhee tha pareshaN
wo bhee mere dil se kuch khafa tha
mae bhee tha dara howa sa lekin
rung us ka bhee kuch urra urra tha
"alif"
Re: Bait Bazi ..
Aata hai aik para dil har fughan kay sath
** Tar-e-nafas, kamand-e-shikar-e-asar hai aaj
(Ghalib)
**
Re: Bait Bazi ..
**
Jub se gaya woh choR ker uss din se dil mera
Khali makaaN ki tarha weeraan ho gaya
**
Re: Bait Bazi ..
Ay meray zakhmi umeedon, dil ka daman chor bhi do
tum ko abhi is nagree main jenay ke saza maloom nahi
:YEH:
Re: Bait Bazi ..
**
Yaad kerna bhi na chaho gey per yaad aayieN gey hum
terey khuaaboN teri neendooN pe chah jaaieN gey hum
meri tasveer ko dekho gey har shey maiN magar
teri pohanch se bohat doorr jub ho jaaieN gey hum
**
Re: Bait Bazi ..
muradon ke manzil kay sapno main kohay
mohabbat ke raho’n pay hum bhi chal paray thay
zara door chal kay jub aankhein kohle to
karee dohp main hum akalay he kahray thay
:yeh:
Re: Bait Bazi ..
**
YaarooN kahaN tuk aur mohabbet nibhaaoN meiN
do mujh ko bad-dua keh usse bhool jaaoN meiN
**
Re: Bait Bazi ..
NazraiN jhuhka kay maang raha tha maiN mantaiN
Ab sarr Uthaa kay baat banaauN tou kis tarah
Tarsay huwey laboN say muhabbat kii baat ko
Tuutay huwey diloN ko sunaauN tou kis tarah
He*