Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii paravaanaa bhii
raat ke aaKhir hote hote Khatm thaa ye afasaanaa bhii

Re: Bait Bazi ..

**
Ye gaye dinooN ki baat hay ussi raah per tum merey saath thay
MeiN naye safar pe hooN ga gaamzan, mujhey doorr jaa kay saza na dey
Mera harf harf hay dil-nasheen, kaheeN tu tou iss ka makeeN nahiN
Ye junoon-e-shooq-e-sukhan kaheeN, tera chehra sub ko dikha na dey
**

Re: Bait Bazi ..

**
Ye rang-o-noor ki baarisheiN ye bheeni bheeni si khushbuweiN
ye asar hey mosam ki zaat ka ye terey shehar ka kamaal hey

"ye"

**

Re: Bait Bazi ..

**
Ye jo ek shab ka hijaab hay, isse darmiyaan se haTa kabhi
Keh tulooh-e-subah ki aarzoo meri kitni neendeiN uRa gayii
**

Re: Bait Bazi ..

**
Ye khayaal hi merey ishq meiN meri jeet hey
merey saath jaaga hey raat bhar koi aur bhi

"ye"

**

Re: Bait Bazi ..

Yeh nah thi hamari qismat keh wasal-e-yaar hota
gar our jeety rehty yehi intezaar hota

Re: Bait Bazi ..

Ek moama hai samajhnay ka na samjhanay ka
Zindagi kahay kow hay, khawab hai deewanay ka

Re: Bait Bazi ..

**
aankhoN main aansoo,labboN per siskiyaaN aur dil main ghum
mujh ko ayy dost, tera rooThna acha laga
ye bhi acha hay, nibhaayii ghair se uss ne wafa
bey-wafaii per bhi mujh ko bey-wafa acha laga
**

Re: Bait Bazi ..

Afsos keh dundaan ka kiya rizq falak nay
**Jin logon ki thi dar-e khoor-e aqad-e guhur, angusht

:devil:
**

Re: Bait Bazi ..

titliyaaN bohat maasoom heiN bas isi leeye to meiN
guldaanoN meiN kaaghaz ke phool sajaaya nahi karta

'' Alif''
( Poet Amal ) :~)

Re: Bait Bazi ..

Aur logon ki tarha to bhi chup sakta hai
Parda-e khidmat-e deen mein hawiss-e jah ka raaz

{Poet= Allama Iqbal(Rehmat ullah alaihe)}

Re: Bait Bazi ..

**
Zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bohat thi
majboor the hum us sey mohabbat bhi bohat thi
waaqif hi na tha ramz-e-mohabbat sey wo warna
dil ke leeye thorri si inaayat bhi bohat thi

"ye"
**

Re: Bait Bazi ..

**
ye bhi theek hay woh chala gaya mujhey band rastey pe choR keh
woh judaa bhi kaise hova keh meiN koi rasam bhi na nibha saka
na meiN paas uss ko bula saka, na dil ki baat bata saka
woh hunsi hunsi maiN chal diya, meiN haath tuk na nila saka
**

Re: Bait Bazi ..

*us ki nazar mein nahi aaj koii Qeemat merii
chund roz pehle jo mera talab-gaar boht tha *

"alif"

Re: Bait Bazi ..

ik roz vo a jaen gei yei di ko yaqin hae
tasier me dhal jae gi ik roz dua bhi

Re: Bait Bazi ..

ye ajeeb khail hay pyar ka main nay aap dekha ye mojza
wuh jo lafz merey gumaan mein thay wuh teri zubaan par Aa gaey

Ye''

Re: Bait Bazi ..

yaad raqhna tujhei meira ek jurm tha
bhoul jana tujhie doosra jurm hae

Re: Bait Bazi ..

ye vehshatien, ye udaasii, ye rut-jago`N k azaab
uss ki hien ye anaayaat us se keh dena
jahan ye adal ki zanjeer naseeb hoee ~Shahbaaz~
waheen katay hien mere haath us se keh dena

"alif"

Re: Bait Bazi ..

Aey toofaan-e-hawaa zara phir say Aa in bastiyon mein har us jagah

Jahaan bach gaey hain kuch ghareeb aesay kuch makaan abhi aur hain

Noon''

Re: Bait Bazi ..

Apna-pan bhi is began-e-pan mein he
pora aalam ik dewaney-pan mein he

yeh jo tum say main anjaan bana phirta hoon
sari baat issi anjaney-pan mein he
"ye"