**
Ye gulaab bhi mera akss hay, ye sitara bhi mera naqsh hay
meiN kabhi zameen maiN dafan hooN, kabhi aasmaan se guzer gaya
MeiN udass chaand ka baagh hooN, meiN gaye dinooN ka suraagh hooN
Meri shaakh shaakh jhulass gayi, mera phool phool bikher gaya
**
Utha kar phank do bahir gulli main Nayi tehzeeb kay anday hain gunday
Election, memberi, council, sadarat Banaye khoob Aazadi nay phanday
** **Mian Najar bhi cheelay gaye sath
Nayhayet tayz hain Europe kay runday
ye bhi tera hi bayaaN tha na jaanam, ke kabhi jo andheroN ney tujhey aan ghera
******to hamaari nigaaheiN terey raastoN par, sitaaroN ki shammeiN jalaaya kareiN gi
***fiza ke laboN pe ab bhi rawaaN heiN, teri saari qasmeiN, terey saarey waadey *** mujhey kya pata tha terey baad hum’dum, hawaeiN terey lafz dohraya kareiN gi
**
Ye khuaab hay, khushboo hay keh jhonka hay keh pal hay
ye dhund hay, badal hay keh saaya hay keh tum ho
ek dard ka phaila hova sehra hay keh meiN hooN
ek mooj maiN aaya hova darya hay keh tum ho**
Hay Ankhon main mojood khuaab jo teraa
Ashq bhi ban gaya Chhoo kar issay Sunhera
Dard bhi jo milay hain teri soorat hi milay hain
Sakoon jo detaa hai to who bhi yehi Chehra
Acha bhai to phir ye lo.
**Asl-e Shahood-o- Shahid-o-Mashood aik hai ** Ghalib ka qaol such hai tau phir zikr-e ghair keya? Kiyoon aye janaab-e Sheikh sunna aap nay bhee kuch Kahtay thay Kaba waloon say kal ahle Deer keya? Hum pochtay hain muslim aashique mizaj say
**Ulfat butoon say hai tau Barhaman say bair keya?
nazar milate hain teer dil ke paar karte hain, **
**muskuraate hain to dil ko halaal karte hain, **
*har taraf ho raha charcha un ki shokiyon ka, *
**wo apni har adaa mein kamaal karte hain....<O:p</O:p
**
Nayee subah per nazar hay mager aah ye bhi dar hay
Ye saher bhi rafta rafta kaheen shaam tuk na pohanchey
Gham-e-aashiqi se keh dou raah-e-aam tuk na pohanchey
mujhey khoof hay ye tuhmat merey naam tuk na pohanchey
**