Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

Yea char shamien ko muhtbar si fiza mein ham nay guzar leen hein to yea ganeemat
ab is say aagay jo muntazir ik charagh aasar rasta hay wo tu nahi hay

Again Ye

Re: Bait Bazi ..

Ya he wafa ka sala ha tu koyee baat nahi
Gar ya dard tum nay diya hai tu koyee baat nahi

Re: Bait Bazi ..

Nazar Na ToR saki Ansoon ki Chilman Ko
Woh Rooz AgarChey Meray A'eeney main Aaye Hain

Re: Bait Bazi ..

Na mei paas uss ko bulaa saka, na mei dil ki baat suna saka
wo hansi hansi mei hi chal diya keh mei haath tak na hila saka

Last:- Alif

Re: Bait Bazi ..

Ab Or Kya Kissi Se Marasim Barrhaaein Hum
Ye Bhi Bohut Hai Usko Agar Bhool Jaaein Hum

Next:- Meem

Re: Bait Bazi ..

Mat Girao khud ko itna kay nazar mila na sakoo
laga do saray ilzam muj par kay mein zinda hon abi

Ye

Re: Bait Bazi ..

yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

Re: Bait Bazi ..

Yahi Bohut Hai Ke Dil Usko Dhoondh Laaya Hai
Kissi Ke Saath Sahi Voh Nazar Tu Aaya Hai!!

Ye

Re: Bait Bazi ..

Yonhi mosem ke ada daikh kay yaad aya hay
kis qadar jald badal jatay hein insaan janan

Last Noon

Re: Bait Bazi ..

na ate hai yaadein na anso ab nikaltay hain
bohut muskil say meray din mere jaa'n ab guzartay hain
suna hai mere yaado ko hai tu nay bhi bohla dala
duna hai phir bhi aankon mein tere sawan tehrtay hain ..

"NOON"

Re: Bait Bazi ..

Nahi Karta Intaazaar Waqat! kesi ka
mei waqat ke is ravish ko badalna chata hoon

Noon

Re: Bait Bazi ..

NaheeN NaheeN, ye khabar DushmanooN ne di hogi
Wo aye, akay chalay bhi gaye, Milay bhi naheeN :rolleyes:

NOON again :slight_smile:

Re: Bait Bazi ..

Nasir Aashobay Zamana say ghafil na rahoo
kuch hota hay jab khalqay Khuda kuch kehti hay

Last: Ye

Re: Bait Bazi ..

Hamaray hisay main "Ya" he atee hai hum nahi khaltay.... :)

yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

Re: Bait Bazi ..

Voh Chal Diye Kabhi Ke Meray Dil Ko Torr Ker
Aai Jo Yaad Dil Ko Dukha Ker Chali Gai

Ye

Re: Bait Bazi ..

Ye chaar shaamain jo mu'tabar si faza maiN hum nay guzar leeN haiN tou ye ghaneemat
ab iss say aagay jo muntazir ikk charaGh aasaar raasta hay, wo tu naheeN hay

Again Ye

Re: Bait Bazi ..

Yaad Tu Hon Gi Voh Baatein Ab Bhi Lakin
Shelf Mein Rakhi Hoi Bund Kitaabon Ki Taha
Kon Jaanay Ke Naye Saal Mein Tu Kis Ko Parhay
Tera Mizaaj Badalta Hai Nisaabon Ki Tarha

Re: Bait Bazi ..

Hijar main khoon rulatay hoo kahan hotay hoo
Looat kar kyoon nahi atay hoo kahan hotay hoo

Re: Bait Bazi ..

Voh Tu Phir ALLAH Hai Poori Karay Ga Aarzoo
Jab Muraadein Pathron Se Dil Ki Paa Letay Hain log

Gaaf.

Re: Bait Bazi ..

Gair kyaa jaaniye kyo.n mujhako buraa kahate hai.n
aap kahate hai.n jo aisaa to bajaa kahate hai.n