Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

Na Tha Kuch Tu Khuda Tha, Kuch Na Hota Tu Khuda Hota
Dabooya Mujh Ko Honey Ney, Na Hota Mein Tu Kya Hota

Alif

Re: Bait Bazi ..

Aisa a'asaaN naheen lahoo rona
dil mein taqat, jigar mein haal kahaN
Hum say chhota qumarkhana-e-ishq
waaN jo jaNweeN, girah mein maal kahaN

Re: Bait Bazi ..

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai

Re: Bait Bazi ..

yaad aye hai to phir tot kay yaad aye hai
koi guzre hoe manzil koi bohla hoaa dost

"tay"

Re: Bait Bazi ..

Tari umeed tara intazar jaab say hai
Na din ko shab say shikiyat na shab ko din say hai

Re: Bait Bazi ..

ye bhi tera hi bayaN tha na janam, ke kabhi jo andheroN ney tujhey aan ghera
to hamaari nigaaheiN terey raastoN par, sitaaroN ki shammeiN jalaaya kareiN gi
:k:
by: Amal

Re: Bait Bazi ..

yaaro mujhe mu'aaf karo mai.n nashe me.n huu.N
ab do to jaam khaalii hii do mai.n nashe me.n huu.N

Re: Bait Bazi ..

Nakaam ho ke jab tere kochay se aaye thay *
*Khushqismatee ko hum waheen pe chor aye thay *
*Jo mekaday mein bach gaya thaa, apna dil hi thaa *
*Tum jaatay jaatay woh bhi waheen torr aye thay

"yeh"

Re: Bait Bazi ..

Phir "Y" kiya aap chahtee hoo ka main contribute na karoon... khair hum harnay waloon main say nahi hain..

yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe
bevafaa tum kabhii na the lekin
ye bhii sach hai ki bevafaa se rahe

Re: Bait Bazi ..

Yun bhi hoga woh mujhe dil se bhula dega magar *
*Yeh bhi hoga khud ussi mein ek khala reh jaayega

*"ALIF" *

Re: Bait Bazi ..

ab us ka fun to kesi ayr say huwa mansoob
mien kiss ke nazam akailay mein gungnaoon ge

"ye"

Re: Bait Bazi ..

Yahe bohut hai kay in labon ko sada say mehrom kar kay rakh don
Magar yeh kese maslehat hai, samandron ko saraAb likhon

*"Noon" *

Re: Bait Bazi ..

na janay konsa lamha churaa ke lay ja'ay
ma'ta'a e gardish e doran hay zindagi apni

Re: Bait Bazi ..

yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai
karuu.N shikaayate.n takataa rahuu.N ke pyaar karuu.N
gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai

Re: Bait Bazi ..

Was going down in the list... Just to bring it up Comon friends participate....

ye aarazuu hai ki jab bhii gale lagaa_uu.N use
hisaar-e-zaat se baahar nikaal laa_uu.N use

Re: Bait Bazi ..

YaqeeN naheeN hay magar aaj bhi Ye Lagta hay
Meri Talaash maiN shayad Bahaar aaj bhi hay...... :)

Its one of My Fav Songs...

Ye...

Re: Bait Bazi ..

ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate
tere jamaal kaa paratau nigaah me.n hotaa
kabhii sabaa se kabhii gul se guftaguu karate

Re: Bait Bazi ..

youhn to her qadam pay mere manzil thee
lakin chaltay chaltay jewan beet gaya
shaam dahlay usko nadiya paar ana tha
suraj dahltay dahltay jewan beet gaya

"ALIF"

Re: Bait Bazi ..

*ujalay apnii yaado`N k hamare saath rehne du
najanay kis galii mien zindagii ki shaaam ho jaye *

"yeh"

Re: Bait Bazi ..

yeh baat tay he nahi ho sake aaj talak
humaray dono main akhir frar kiska hai

"YEH"