is qadar yaad he apne the sabhi
kis ne kia chaal chali yaad nahiiN
Na tha manzoor kismat koo
Na thee marzee baharoon kee
Nahi tu is gulstan main
Kami thee kiya nazaroon kee
yun ruke ek pal wo mujhe dekh ker
jaise kuch rabt sa darmiyan reh gaya
ajaaz-e-isavii se nahii.n bahas ishq me.n
terii hii baat jaan-e-mujassim bahut hai yaa.N
naghme ko koie saaz mayassar aaye
izhaar ka andaaz mayassar aaye
karne ko sabhi karte heN bateN lekin
alfaaz ko Aawaaz mayassar aaye
aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
mohalat basaa.N-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaa.N
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
mohalat basaa.N-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaa.N
[/QUOTE]
yahaan se ab kahiin le chal Khayaal-e-yaar mujhe
chaman men raas na aayegii ye bahaar mujhe
terii latiif nigaahon kii Khaas jumbish ne
banaa diyaa terii fitarat kaa raazadaar mujhe...
yeh achha hai ke aapas ke bharum naa tootnay paaein
kabhi bhi dosston ko aazmaa kar kuch nahi miltaa
[QUOTE]
*Originally posted by ahsan225: *
yeh achha hai ke aapas ke bharum naa tootnay paaein
kabhi bhi dosston ko aazmaa kar kuch nahi miltaa
[/QUOTE]
Ankhon kai samander main utar janay day
tera mujrim hoon mujhe doob kar mar janay day
ye aish-o-tarab ke matavaale bekaar kii baate.n karate hai.n
paayal ke Gamo.n kaa ilm nahii.n jha.nkaar kii baate.n karate hai.n
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
ye aish-o-tarab ke matavaale bekaar kii baate.n karate hai.n
paayal ke Gamo.n kaa ilm nahii.n jha.nkaar kii baate.n karate hai.n
[/QUOTE]
huzuur aap kaa bhii ehataraam karataa chaluun
idhar se guzaraa thaa sochaa salaam karataa chaluun
nigaah-e-dil kii aaKhirii yahii tamannaa hai
tumhaarii zulfon ke saaye men shaam karataa chaluun...
Nahi aate raas teri gali kai raastai hamain
jab bhi udhar ko chalay kuch na kuch kho dia
phele dil khoya phir apni jaan bhi waar dii
aaj to ae Dilruba humnai tujhe hi Kho dia
ye bhii kyaa shaam-e-mulaaqaat aa_ii
lab pe mushkil se terii baat aa_ii
aaii na phir nazar kahiin jaane kidhar gaii
un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar gaii
kuchh itanaa besabaat thaa har jalvaa-e-hayaat
lauT aaii zaKhm khaa ke jidhar bhii nazar gaii...
Ya dill ka roog ya chahat Khuda kisi koo na day
Buri bala hai mohabat khuda kisi koo na day
Ye tou muhabatoN kii maang thii jo tujhay zindagi ka laqab diya
is soday ke Ewaz sanam maiN nay kab maanga thaa samar koii
Ye*
ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaa.N hai
qatare me.n samandar hai zarre me.n bayaabaa.N hai
yeh kia kum hay us nai bekhsha aik mehekta derd mujhay
woh bhi hain jin ko bus rungon ka aik mehekta houa khol dia
aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah
haan jo jafa bhi aap nay ki qaieday say ki
haan hum hi kar bend asool-e-wafa na thay