wo sath they tu hum be theY manzil se aa'shna
ab wo nahi tu lagteY haiN ye rishteY ajeeb se
"ye"
wo sath they tu hum be theY manzil se aa'shna
ab wo nahi tu lagteY haiN ye rishteY ajeeb se
"ye"
yeh Safar bhi kitna taweel hay, yahaaN waqt kitna qaleel hay
kahaaN laut kar koi aaey ga, jo guzar geyaa so guzar geyaa
Alif*
aik ansoo ne daboya muj ko is ki bazam maiN
boond bhaR pani se sari aa'bro pani huwei
"ye"
Ye KhizaaN ki Zard sii Shaam meiN, jo Udaas peiR kay paas hay
ye tumhaaray Ghar kii bahaaR hay, isay AansuoN say haraa karo
wao*
Vo aa tu jaya magar intazar he kam hai
Vo bewafa tu nahi mara piyar he kam hai
"ye"
yooN he nahi nikhra huwa phoolooN ka tabbasam
aiey baad-e-saba baag maiN wo aiey huwey haiN
"noon"
na tum mere na dil meraa na jaan-e-naatavaa.N merii
tasavvur me.n bhii aa sakatii nahii.n majabuuriyaa.N merii
aisa raha karo keh kerain log aarzo
aisa chalan calo keh zamana misal day
"yay"
ye alag baat hai saaqii ki mujhe hosh nahii.n
hosh itanaa hai ki mai.n tujh se faraamosh nahii.n
"ye"
ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham
chaaraagar roye.nge aur Gam_Khvaar ban jaaye.nge ham
ham sar-e-chaak-e-vafaa hai.n aur teraa dast-e-hunar
jo banaa degaa hame.n ai yaar ban jaaye.nge ham
MaiN raat gaey sab taaroN say teraa puuchta huN par na-jaanay
in rat-jagoN kay nargay meiN bas maiN hii huN ya tum bhii ho
wao*
"ye"
vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai
vahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaro.n taraf
jo mere baKht me.n thaa ab nasiib-e-shahar bhii hai
Yeh nukta sargazisht-e-Millat-e-Beza say hay paedaa
Kay aqwaam-e-zameeN-e-Asia kaa paasbaan tu hay
Ye*
"alif"
yuu.N terii rahaguzar se diivaanaavaar guzare
kaa.Ndhe pe apane rakh ke apanaa mazaar guzare
baiThe rahe hai.n raastaa me.n dil kaa Kha.nDhar sajaa kar
shaayad isii taraf se ek din bahaar guzare
**
Yeh daikhnay kay leyay baar baar lotati hoon
Ke kaash tu merey jaanay pe sogawaar milay
**
Aashkaaraa hay yeh apni quwwat-e-taskheeR say
garchay ik mitti kay paikar meiN nihaaN hay Zindagi
Ye*