Ye andaaz-e-mohabbat hey ke nafaasat hey balaagat ki
ye lehjey ki banawat hey ke khush'fehmi hey samaa'at ki
"ye"
"ye"
yuuN tou meiN huns Parra huuN Tumhaaray liyey magaR!
Kitnay SitaaRay TuuT Paray ik Hunsii kay saath
He*
"noon"
Na deed hay na Sukhan ab na HarF hay na payyaaM
koi bhii heela-e- taskeen nahiN aur Aas buhat hay
Umeed-e- yaar NazaR ka mizaaj dard ka Rang
tum aaj kuch bhii na puucho keh diL Udaas buhat hay..
Ye*
"ye"
Yeh Aur Baat Hay PhuuloN Ka Zikr Thaa SaghaR*
Kay Ittafaq Say Punhchi Hay Baat KantoN Pay
ye*
NeendaiN meri Aankhon say churaata hay wuhi shakhs
So jaaoN tou khawaabon meiN bhi aata hay wuhi shakhs
Har Zakhm ka khaaliQ bhii koi aur nahiN hay.......
har Zakhm pe marhum bhii Lagaata hay wuhi shakhs
Seen OR Saad*
"wao"
"ye"
Ye zaraa zaraa si baat par tarhaN tarhaN ke azaab kyuN
jo kisi say bhi khafaa na ho mujhay uss khuda ki talaash hay
mujhay LagzishoN pe gharri gharri koi tokta hay baar baar
jisay kar ke dil ko dukh na ho mujhay uss gunaah ki talaash hay
Ye*
"ye"
yaad kya dast-e-HunaR hay keh sanwarta geya maiN
ussko socha tou ussay yaad hi karta geya maiN
is ko tahzib-e-junuN kahiye kehi mujh sey pahley
jaesey bikhrey haiN sabhi log bikharta geya maiN
Noon*
nazar meiN Dhal ke ubharteY haiN dil ke afasane
ye aur baat hai duniyaa nazar na pahachane
"ye"
YuuN maatmi say Libaas meiN koi Aah-o-FughaaN hay aaj bhi
jaesay chahsm-e-tar meiN khwaab koi pareshaaN hay aaj bhi
ye*
ye weham nahi to kya hey ye gumaaN nahi to kya heY
ye jo dil sey utth raha hey ye dhuwaaN nahi to kya heY
"ye"
yeh HadaiN na Tor denaa meray daairay meiN rehna
mujhay apnay DiL meiN rakhna meray hafizay meiN rehna
mera bojh khud uthana mera Karb aap sehna
mera Zakhm baant Lena Meray Rat-jagay meiN rehna
Alif*
aik zaRf tootnaY se huwa kis bala ka shoR
is dil k tootnaY ki zaRa be sada nahi
kitnaY nagaR haiN jo kabhi ujRay kabhi basaY
ujRaa jo aik baaR ye dil phiR basaa nahiN
"noon"
"alif"