O be-wafa Aa sun zara merii rooh pe guzreeN jo qayamataiN
mera dil dukha tou buhat magar meray Lab pe ab bhi gilaa nahi
teray dostoN meiN tera bharm rahay yehi soch kar maiN chup raha
jo nigaah meiN thaa wuh chuhpa liya jo dil meiN tha wuh kaha nahi
Ye*
Ye soch kay lay ayaa huuN maiN jungle say kuch jugnoo
naa jaanay ab qismat meiN sehar hay ke nahi hay
Ye*
Yun naqsh huwa aankh ki putlee mein woh chehra
Phir hum ne kisi aur ki surat nahee dekhee...
Next: Ye
Dilsay
July 5, 2003, 8:02pm
65
Ya he nahi ka hamain toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat dair joorna hooga
i am sorry i did not have access... other wise i use to be on top of the list... sorry i am not there yet.....
Aaj phir mehromeyoon ki dastaanain ourh kar
Khaak mein sone lagay hain Mein, Muhabbat aur Tum...
Next: Meem
system
July 6, 2003, 4:28am
67
meray yaaroN ko itni baat koi kash samjha day
haseenoN se kabhi aankhein larda kar kuch nahi miltaa
Asaniyon se pooch na manzil ka rasta
Apnay safar may rah kay pathar talaash kar
Zarray say Kainat ki tafseer pooch lay
Qatray ki wa'saton may samandar talash kar
Dilsay
July 6, 2003, 8:54am
69
Rah e wafa main jaab na mil saka koyee rafeeq
Hum sath sath apnay he siya kay chal deya
Yeh Khulay Khulay se gaysu, inheyn lakh tum sanwaro
Merey hath say sanwartay to kuch aur baat hoti
Yakjaa dikhaee doonga tumhein door se magar
Jab paas aaoge kaee hissoon mein paaaoge...
Next: Ye
Dilsay
July 6, 2003, 2:23pm
73
Yoon he udas raha tu dekhna ak din
Tamam shahar main tanhiyan becha doon ga
Aek wisaal kii baarish say wuh saaray shikway dhoh day ga
yaani meray saath lipaT kay kuch na kahay gaa, ro day ga
Alif*
Dilsay
July 6, 2003, 6:14pm
75
Allah karay ka jahan ko mari yaad bhool jaya
Allah karay ka tum kabhi asa na kar sakoo
system
July 6, 2003, 6:23pm
76
Woh to khushboo hai hawaaoN me bikher jaaey ga
Mas'ala phool ka hai phool kidher jaaey gaa !!
Dilsay
July 6, 2003, 6:28pm
77
Abhi behi waqat hai tum loot jaoo
Mujahay tum say mohabat hoo chalee hai
Sookoon tari hai bazahir dill pay mari
Qiyamat is kay andar hoo chalee hai
Yaad bhi us ki yeh kehti huwi dil se nikli
Aisi ujri huwi basti mein bhala kya rehna...
Next :Alif
Ye bhii mumkin hay ik diN wuh pash-e-maaN ho kar
teraY paas Aaey zamaanay say kinaara kar kay
Ye*