is sey pahale key bewafaa ho jaayien
kyon na aye dost hum judaa ho jaayien!
Naam le le ke tera hum tu jeye jaayenge
Log yunhi humein badnaam keye jaayenge...
Next: Ye
ya tera tazkera karey her shakhs
ya koi hum say guftu'gu na karey.
next:yae
Yeh aankhoon mein jo khwaab hain unki batain karne do
Hontoo se woh lafz kaho jo kajal kehta hai...
Mausam jo sandesa laaya hai ussay parh tu lo
Sun tu lo woh raaz jo pyaasa Saahil kehta hai...
Next: Ye
Ye baat alag haath qalam ho gaey apney
hum aap ki tasveer banaana nahi bhooley
"ye"
Ye zara hi pehlay kii baat hay ke kisii ke dil ki duaa tha maiN
nau-kheiz bahaar ki jawaaniyoN meiN kisi ko aziz huwa tha maiN
meray hasool ki inteha ke mujhay man'natoN meiN maanga gaya
ik dul-rubaa kay rat-jagoN kii riyaaztoN kaa silaa thaa maiN
Noon*
Nahi ab to koi malaal bhi kisi waapsi ka khayaal bhi
gham-e-be-kasi ney mita diya merey dil meiN tha bhi agar koi
"ye"
Ye be-bassi kay Aansoo inhaiN Dil meiN mat chuhpa tu
ShaanoN say meray lag kay kyuN Ro nahiN tu detaa
Chehray pe Aa basay haiN UdaasiyoN kay mosam
Dil say ghumoN kay dhabay kyuN dhoh nahiN tu detaa
Alif*
Aaj muddat ke baad yeh socha tu yaad aaya
Mein jissay bhula chuka hoon ussi mein zinda hoon...
Next: Noon
Na ye gham naya na sitam naya ke teri jafa ka gila kareiN
ye nazar thi pehley bhi muztarib, ye kasak to dil meiN kabhu ki hey
"ye"
Yeh fikar kar ke is aasoodagi ke dhokay mein
Teri khudi ko bhi maut aa gaee tu kya hoga...
Next: Alif
Us se miley to zam-e takalum ke ba'wajood
jo soch kar gaye the wohi aksar nahi kaha
"alif"
aakhir aakhir to yeh aalam hai heh ab hosh naheeN
Rug e meena sulag uthhee ke rug e jaaN jaanaaN
Naa sawaal kar naa jawaab maang ke mujhay zindagi ki kitaab meiN
ik baab bhii khushi ka mila nahi, maiN aakhir tujh ko sunaaoN kyaa
Alif*
ahsas ager ho to mohabat karo mahsoos
Har baat ka izhar zaroori nahi lub se
Yeh ajeebkheil hein Pyar ke, mai ne aap deikha yeh moajizaa
keh jo lafz mere gumaaN me thay woh teri zubaan pe aa gaey
yeh hamein hain ke tera dard chupa ker dil main
kam duniya ke ba'dastoor keay jatey hain.
Nahi nigaah meiN mansil to justuju hi sahi
nahi wisaal moyassar to aarzu hi sahi
na tan mein khoon faraaham na ashq aaNkhoN meiN
namaaz-e-shaoq to waajib hey be'wazu hi sahi
"ye"
Yeh Fasaana-e-ghum-e-Ishq hay,koii raahatoN ka bayaaN nahiN
Yeh tou sar-gazasht-e-charaagh hay yahaaN subh-e-nau ka zikr kahaaN
Noon*
Naey safar pe ravaana huwa hooN azsar-e-nau
jab aaooN ga to mera naam bhi nayaa rakhna
hisaar-e-sahoq utthaana Zafar zaroor magar
kisi taraf sey nikalney ka raasta rakhna
"alif"