na wuh ishq meiN rahiN garmiyaN na wuh husn meiN rahiN shoKhiyaN
na wuh Gaznawi meiN tarap rahi na wuh Kham hay zulf-e-ayaaz meiN
Next:Noon*
na wuh ishq meiN rahiN garmiyaN na wuh husn meiN rahiN shoKhiyaN
na wuh Gaznawi meiN tarap rahi na wuh Kham hay zulf-e-ayaaz meiN
Next:Noon*
"noon"
Na gila kiya, na khafa huwe, yuuni Raastay meiN Juda huwe
Na Tu bewafa, na maiN bewafa, Jo GuzaR geya So guzar geya
Next: alif*
"ye"
ye dastuR-e-zabaaN-bandi hay kaesi teri mahfil meiN
yahaaN tou baat karney ko tarastii hay zabaaN merii
Tapak aey shama aaNsu ban key parwaaney ki aankhoN sey
saraapaa dard huuN hasrat bharii hay daastaaN meri
Next:ye*
"ye"
Ya-Rab zamana mujh ko mitata hay kis liyey
Lohay jahaN pe haRaf-e-muqaRar nahin huuN maiN
Next: Noon*
"ye"
yuhi moasam ki adaa dekh k yaad aia
kis qadaR jald badal jateY haiN insaaN jaana
"alif"
ab kay bhi Ujarr jaaiN gay bastii kay kaii ghar
iss saaL bhi barsaat ka amkaan buhat hay
Next: ye*
"noon"
Niyat-e-shauq bhar na jaae kahiN
Tu bhii DiL say Utar na jaae kahiN
Next: noon*
You seem spent today...shall not we stop it for the day?
"tey"
if u wana gtg then no pb, i am here 20-30 minutes, coz softwere downloading !
tere ishq kii inteha chahataa huuN
meri saadagi dekh kya chahataa huuN
Next: noon*
You have been very slow today...that's why I thought you might be tired.
"ye"
Ok ab apko saboot dena paray ga,
very fast replying :)
yeh Mah-e-taabaaN say ja kar kahdo,keh apni kirno ko giN kay rakhe
meiN apnay sehra kay zarre zarre,ko khud chamkna sikha raha huuN
Next: Noon*
nice sheir :k:
** Nazar nazar meiN hey ik khaar-e-zaar ab ke baras merey Khuda! ye hey kesi bahaar ab ke baras“seen”
shukriya:)
sabhi kuch hay tera diya hua sabhi raahataiN sabhi kalfataiN
kabhi sohbataiN kabhi furqataiN kabhi duriyaaN kabhi qurbataiN
Next: Noon*
"alif"
ajnabii shahroN meiN rahtey Umr saarii kaT gai
go zara sey faasaley par ghar kii har raahat bhi thi
jo hawa meiN ghar banaae kaash koi dekhta
dasht meiN rahtey they par taamiir ki aadat bhi thi
Next: ye*