Bait Bazi - Part LXIV

yehi Mizaaj hay apna kisi ka DiL na dukhay
JudaaiyoN ko bhi chaha hay QurbatoN ki tarha

Next: He*

ham paRh rahe theY khvaab ke purzoN ko joRe k
aaNdhi ne ye tilism bhi rakh dalaa toRe k

"ke"

**
YaadeiN, udaas aaNkheiN aur ik dil bujha bujha
jaatey jaatey wo kitney inaamaat dey gaya

"alif"

apnaY hathooN se kaat keR saraY shajaR
ajeeb shakas hai saaya talash kaRta hai

ye kaesey mumkin hay diL jaley aur dhuwaaN na utthey
chot partii hay tou pathar bhii sadaa detey haiN

Next: Noon*

Beautiful ** NikamiJi

Nahi ke arsa-e-gardaab hi ghaneemat tha
magar yaqeen to dilaao yehi kinaarey heiN

“noon”

na ye Ghum neya,na sitam neya kay terii jafaa kaa gilaa karaiN
ye nazaR bhi pehlay thi muztarib,ye kasak tou diL meiN kabhi ki hay

Next: Ye*

thanks Amal.....ap ka sheR be bohat khoob

ye be mumkiN hai ik diN wo pash-e-maaN ho kaR
teraY paas aieY zamanaY saY kinaRa kaR k

"ye"

ye Husn-e-Raaz-e muhabbat chhupaa rahaa hay koii
hai ashk aaNkhoN meiN aur muskuraa rahaa hay koii

Next: ye*

**
Yehi hey zaoq-e-mohabbat ki intihaa Saghar
gham-e-hayaat ke maaroN ka ehtaraam karo

"wao"

waqT-e-ruKhsat alwida ka Lafz kahney kay liyey
wuh terey sukhey LaboN ka thar- tharaana yaad hay

Next:ye*

Weclome :)

**
Ye jo mehboob banaa hey teri tanhaai ka
ye to mehmaan hey gharri bhar meiN chala jaey ga

"alif"

ye khamoshi be hamaRi ana ka paRda hai
sawal kaRtey raho auR jawab rahnay do
safaR ka sath hai manzilooN ka sath nahi
guzaR he jaieN gain lamhaY hisaab rahnaY do

"wao"

sorry i didn't know k ap be likh rahya.......:(

wuh mehrubaaN hay tou iQrar kyuun nahiN karta
wuh bad-gumaaN hay tou so baar Azmaaey mujhay

Next: ye*

**
Ye teergi to ba'harhaal chatt hi jaaey gi
na raas aai hameiN roshni to kya ho ga

"alif"

Aankh kahti hay keh Khawaab tha wuh Raat ka
Neend ki suRat mila tha Rat-jagoN tak Aa geyaa
Phir say HaaiL ho gaii RaahoN meiN doori ki FaseeL
Phir wuhii Zahar-e-judaai QurbatoN tak Aa geya

Next: alif*


us ney aahista sey jab pukaara mujhey
jhuk ke takney lagaa har sitaara mujhey

"ye"

yaad rakhna tujhey mera ek jurm tha
bhuuL jana tujhey doosra jurm hay

Next: ye*

**
YuN aa rahi hey bichrrey huwey dostoN ki yaad
jesey chiraagh jaltey hoN raatoN ko gaaoN meiN

"noon"