Yeh kahaN ki dosti hai ke bana hai dost na-sih
koi chiragh saaz hota koi gham gusaar hota
Next – alif
100 poore hue
Yeh kahaN ki dosti hai ke bana hai dost na-sih
koi chiragh saaz hota koi gham gusaar hota
Next – alif
100 poore hue
MubarkaaN
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
Un sey bhi chheeN lo gey yaad apni
jin ka emaaN ho gayi ho gi
aik Umer-e- namu ki khawahish me mausam kay jabar sahay tou khulaa
Har Khushbuu aam nahien hoTi,har Phool Gulaab nahien hoTa
Har Lamhaa Khair-o-sharr me kahin ik Saa'at aesi hay jiss me
Har baat Gunah nahien hoTi,sub Kaare-e-Sawaab nahien Hota
ji haan ~sehar~ ji to buhat khush ho jaain gi dekh kar :)
ahhhhh itni Mehnat se alif se she'r likha tha sigh*
~Sehar~ko khushi ho gi ya gussa aaye ga yeh to tab pata chaley ga jab woh aakar hamarey yeh kamalat dekheeN gi.. itna gand uff
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
qita achha tha Gul per ab kya ho sakta he ![]()
[This message has been edited by Rameesha (edited July 31, 2002).]
Ye andheraa ye talaatum ye havaaoN kaa kharosh
is meiN taaroN ki subuk narm ziyaa kyaa karti
talkhi-e-zeest sey karrwa huwa aashiq kaa mizaaj
nigaah-e-yaar ki maasoom adaa kya karti
ab yoon to na kahiye ,itna bhi gand nahin
machaya
yooN baal bikhraae qabrooN pe koi mah-jabeeN roti hai
mujh ko aksar khayaal aata hai maut bhi kitni haseen hoti hai
Yey
Gul aik ghante meiN aik sher likhne ka yehi nuqsaaN hota hai
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif
Rameesha Sehar bohut payaari bachi hai, so chale ga
hehe aap key is qitey sey eik mazey ka shair yaad aya
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
Ya Rab nigah-e-naaz pe lisence(sp?) kyooN naheeN
yeh bhi to qatl karti he talwar ki tarah
-he
[This message has been edited by Rameesha (edited July 31, 2002).]
haadase kyaa kyaa tumhaarii beruKhii se ho gaye
saarii duniyaa ke liye ham ajanabii se ho gaye
arey sabah ji kaesi baatain karti hain kab se to likh lihk ke huamary haath Ghiss gae
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif
hehe rameesha ji
hehehe
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
.. eik our lo issi tarah ka ..
YaaN sey waaN, waaN sey yaaN, hukm howa wasl ki shab
hum uthatey, bichhatey hi phirey bister apna
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
-alif
Aey Sabah! Shehr-e-Nigaaran say guzar ho jub tera
bhuulnay waalay say kahna yaad kiyoon aaya bahut
:)
Apne sehme hue jazbaat liye main kab tak
khud ko halaat ki znjeer meiN jakRa dekhooN
mere hontooN pe machal jaati hai barish ki dua
jab koi gird meiN lipta hua chehra dekhooN
Noon
Gul, speed baRhao chanda
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif
And for you Ma’m
Therro maro mera sher kharaab kar diya
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/redface.gif
Teer khaane ki howas hai to jigar paidah karo
sarfarooshi ki tamana hai to sar paidah karo
Wao
Saba ab aap ko apni speed barhani chaye
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif
Gul aap ney Saba likh key hameeN kya kyaa yaad dila dia ..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif
Tum Saba ki tarah aaye our rukhsat ho gaye
Hum misal-e-shah-e-tanha dair tak larzaaN rahey
waqt-e-safar qariib hai bistar sameiT looN
bikharaa huaa hayaat kaa daftar sameT looN
phir jaane ham milain na milain ik zaraa ruko
maiN dil ke aaine me yeh manzar sameiT looN
sabah ji
arey Rameesha ji hum Mazr’at khawah hain
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif
maloom hota anjaane meiN apko dukh day baethain gay tou kabhie na likhtay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif
wuh tou sabah ji kay name say yaad aa geyaa tha she’r
Woh nazar bacha key jo nagahaaN mery samney sey guzar gaye
mera dard our nikhar geya, mery zahm our sanwar gaye
-ye
Saba yaad he woh saba wali thread aap ko ???
GuL gham naheen, khushi hoti he woh sab yaad kar key bas afsoos to yeh he keh woh fursateeN, woh loog, woh mehfileeN kahaN gaeeN
ye dustooR-e-wafa sadiyoN say raa`ij hay zamanay mai
sadaa-e-Qurb di jiN ko unhi ko door daikha hay
bass yehi dastoor-e-duniya hay yaadain Faqt reh jaati haiN sigh*
Yaad uski itni khoob naheen Meer baaz aa
Nadaan phir woh jii sey bhulaya nah jaye ga
sahi kaha aap ney Gul