Bait Bazi Part -- LXII

uff yahan to kochh our hi samaa he .. khair yeh lain noon sey

Nah bik saki kissi bazar-e-muslehat meiN bhi
meri zubaaN ki sadaqat mei anaa ki tarah

-he-

Yeh bhi mumkin hai kisi rooz naan pehchanoon ussay
Woh to har bar naya bhais badal leta hai

NEXT: YAY

I apology Rameesha sis

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif

really I did’t know

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

YooN tau sayyad bhi hue mirza bhai hue Afghan bhi hue
tum sabhi kuch hue batao tau musalmaaN bhi hue

Next – yey

koyi baat naheen GuL-e-Tasbeeh behna ..smile jee :)

Oyeee Saba ki bachi .. dant ander karo :-P

Uff Phir ye

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

Ye waqt jis ne palatt kar kabhi nahi dekha
ye waqt ab bhi muraadoN ke phal laataa hai
wo morr jis ne hameN ajnabi banaa daalaa
us aek morr pe dil ab bhi gungunaata hai

** Yeh zahm kahaN harf-e-tasalli sey bhareeN gey
sehraooN ko rim-jhim sey to seencha naheen jata**

Accah jee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

Aap kehte haiN ke aurooN ne hameiN kiya zaleel
bandah parwar kaheiN apnooN hi ka yah kaam na ho

Next – Wao

[Minno taras aa gaya ae ‘yey’ te

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

]

GuL-e-Tasbeeh jee kabhi kabhi hum be yahan “ye” pe yoonhi roya kartey they … per aap mat roiye, aanso poonchh lijiye warna hum bhi ro dain gey

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

Wohi aam si me,wohi aam si khuwahish meri
Mey ney bhi kab chaha tha mosam ashk-baar tehre

acha sis jo apka Hukam

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

smile

aisa shair to phir yeh loo issi tarah ka eik meri taraf sey bhi

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

Woh sar kholey hamari laash pe diwana-war aaye
issi ko mout kehtey hain to Ya Rab baar baar aaye

-ye-

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

Ya rab zamana mujh ko mitata hai kis liye
Laho-e-jahaN pe harf-e-muqarar nahiN hooN meiN

Next -- Noon

Nae dor kay naiy khawab hain , naiy mosmon kay gulab hain
Yeh mohabatoon kay charagh hain, inhain nafraton ki hawa na day

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

yeh tau ho chuka isse thread meiN aur lao jaldi se

Nazar lagey nah kaheen us key dast-e-bazo ko
yeh loog kyoon mera zahm-e-jigar dekhtey haiN

-nooN-

Na hareef-e-jaan na shareek-e-gham shab-e-intezar koi to ho
kise bazm-e-shoq me laain hum dil-e-be-qarar koi to ho

sholly ji humain kahyal aa hi geya tha

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

Oye kiss ko kaha he .. haaN.. mujee ya Gul jee ko

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

Woh jin ki roshni kache kamrooN ki jagmagae gi
na woh sooraj nikalta hai na apne din badalte haiN

Next – Noon

Gul ko kaha tha ma’m

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

Nah main kissi ka habeeb hooN nah kissi ka raqeeb hooN
jo bighar geya woh naseeb hooN, jo ujhar geya woh deyyar hooN

[This message has been edited by Rameesha (edited July 31, 2002).]

na Gubaar me.n na gulaab me mujhe dekhana
mere dard kii aab-o-tab me mujhe dekhana