Bait Bazi Part -- LXII

woh barra raheem-o-kareem hai, mujhay yeh sift bhee ataa karey
tujhay bhoolne ki duaa karoon to duaa me meri asar na ho

Next "Wao"

Woh tau phir Allah hai poori kare ga arzoo
patharooN se jab muradeeN dil ki pa lete haiN log

Next -- Gaaf

gaye dinon ka suraaG lekar kidhar se aya kidhar geya wuh
ajeeb maanoos ajanbi tha mujhey to hairaan kar geyaa wuh

Next " He"

Ham safar aur bhi sar-garm-e-safar the lekin
mujh ko sayyad ne raftaar se pehchaan liya

Next -- Alif

Azaad fikr se hoon, uzlat mein din guzaaroon
dunya ke gham ka dil se kaanTa nikal geya ho
(Poet Alama IQbaL)

Next "wao"

Assalam-o-alaikum

Woh tha eik aks-e-gurezpa so naheen ruka
kati umr dasht-o-dayyar meiN ussey dekhtey

A.I.A

-ye-

[This message has been edited by Rameesha (edited July 31, 2002).]

Wa Alaikum Assalaam Rameesha sis/bro

ye shab-efiraq ye bebasi haiN qadam qadam pe udaasiyaaN
meraa saath koi na de sakaa meri hasarateN haiN dhuaaN dhuaaN

Next Noon

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

W’Salaam

Yeh dil ke zakham nahiN jigar ke raagh haiN
rah-e-hayaat meiN shama jala raha hai koi

Next – Yey

Oye hoe

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/redface.gif

)

Nae dor ke nae khawaab haiN nae mausmooN ke nae ghulaab haiN
yeh muhabatooN ke chiraagh haiN inheiN nafratooN ki hawa na de

Next – Yey

ye fizaa jo gard-o-GubaaR hai meri bekasi kaa mazaar hai
maiN vo phuul huuN jo na khil sakaa meri zindagi meiN vafaa kahaN

Next Noon

na jaane kioN usse dil mehrbaan samajhta hai
woh dost tau sirf itna hai ke ajnabi bas kam hai

Next -- Yey

yeh sisak sisak ke marna gham-e-hijr meN sitam hai
koi zulam mujh pe hota magar aik baar hota

Next Alif"

Na gor-e-Sikandar a hai qabr-e-Dara
Mite naamiyooN ke naam kaise kaise

Next -- Yey

yaqeen mehqam amal peham mohabbat fateh-e-alam
jihad-e-zindagani main yeh hain mardon ki sham-sheerain
Next Noon

Na lutta din ko kab raat ko yooN bekhabar sota
raha khatka na chori ka dua deta hooN rehzan ko

Next -- Wao

Woh mila to sadeyon ke baad bhi mairay lab pay koi gila na tha
Usay mairee chup nay rula diya jisay guftugo main kamal tha

Next >>>>>> Alif

Is zara si baat ka ham kya kareiN shikwah Adam
Pyaar se bijli ghiri aur AashiyaNaH jal gaya

Next -- Alif

Apni tanhai mere naam pe abad kare
Kon ho ga jo mujhey iss tarha yaad kare

Next : YAY

yeh joo raat dinn ka hai khail saa issay dekh iss par yakeen na karr
nahien aaks koe bhee mustakill saray aaena ussay bhool jaa

[This message has been edited by GuL-e-Tasbeeh (edited July 31, 2002).]

GuL-e-Tasbeeh aap ney kabhi Rameesha larkooN ka naam dekha he? :)

Ya taigh key neechey ya sar-e-daar kiya jaye
haq, haq he to her haal mein izhaar kiya jaye