Bait Bazi Part---LXI

najm-e sehar ke chehray se Insha itni bhi umedain na lagao
aisa bhi ham ne dekha hai aksar rat katay aur subha na aye

Ibn-e Insha

next: "YaY"

Yeh Bhi Darust Hai k Main Tujh Ko Bhula Chuka
Yeh Bhi Ghalat Nahi K Meri Zindagi Hai Tu


Irfan Ismail

woh ajeeb phool say lafz thay
teray honth jin say mehek uthay
meray dashte khuwab main duur tak
koi khuwab jaisay laga gaye

Yaad thiN hum ko bhi rangarang bazm aar'iyaN
Lekin ab naqsh-0-nigaar-e-taaq-e-nisyaaN ho gayiN.


~^Sar faroshi ki tamanna ab hamaare dil meN hai
Dekhna hai zor kitna bazoo-e-qaatil meN hai.
^~

na pooch jab se tera intizar kitna ha
ke jin dinoon se mujhe tera intizar naheen
tera hi aks ha in ajnabi baharoon mein
jo tere lab , tere bazoo , tera kinar naheen

(Faiz Ahmad Faiz)


in my dreams i was drowning my sorrows , but my sorrows learned to swim

Na rahaa junoon-e-rukh-e vafaa,yeh rasan yeh daar karo ge kiyaa
jinhhaiN jurm e ishq pe naaz thaa , voh gunaah gaar chale gae.


~^Sar faroshi ki tamanna ab hamaare dil meN hai
Dekhna hai zor kitna bazoo-e-qaatil meN hai.
^~

~yae zaroori to nahin aag sae jal jaye koi
baaz logoon ko muqaddar bhi jala daytae hain~


~~Khud ko yun mahsur kar baithi hun apni zaat mein
manzilain charon taraf haiN rasta koee nahin~
~

magar yae to koi n a janay meri manzil hain kahaaaaan!!;~)

Na hara hai ishq na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
sakoon hi sakoon hai khushi hi khushi hai
tera gham salamat mujhay kiya kami hai

next: "YaY"

**
yea ek abr ka tukraa kahan kahan barse ..
tamaam dasht he piyasa dekhai deta hay ..

jahan jahan mujhe sehra dekhai deta hay ..
meri tarhaan se akela dekhai deta hay ..
**


I am like an Open Book Except for the few pages of my past, My life is an empty book. It takes the shape of a mystery, To me it does at least. For I cannot tell what happens next, Too many cliffhangers and too much suspense. But its clues all lead eventually to the same place, Unfortunately it does not say where. It only says get the next book, For in this one you' ve ran out of room.

Yaaro mujhe mu'aaf karo main nashe main huuN
ab do to jaam khaalii hii do mein nashe main huuN.


~^Sar faroshi ki tamanna ab hamaare dil meN hai
Dekhna hai zor kitna bazoo-e-qaatil meN hai.
^~

nasiha dill main tu itana to samajh apnay k ham
lakh nadan hoye kiy tujh se bhi nadan hongay

Momin Khan Momin

next: "YaY"

Yeh sadma uthanay ki himat nahi hay
jo beetey sunanaay ki himat nahi hay
juda ho kay tujh say mera haal kiya hai
kisey ko baatanay ki himat nahi hay.


~^*Sar faroshi ki tamanna ab hamaare dil meN hai
Dekhna hai zor kitna bazoo-e-qaatil meN hai.
^~
*

yay chiragh benzar hai, yay sitara bezaban hai
abhi tujh se milta julta koi dosra kaha hai
kabhi pa ke tujhay khona, kabhi kho ke tujhay pana
yay janam janam ka rishta teray meray darmiyan hai

Bashir Bdar

next: "yay"

Ye jo raat din ka hay kheyl sa usay dekh us pae yaqeen na kar
koi aks bhi nahee mustakil sar-e-aaina usay bhool jaa.


~^*Sar faroshi ki tamanna ab hamaare dil meN hai
Dekhna hai zor kitna bazoo-e-qaatil meN hai.
^~
*

unhin raston nay jin par kabhi tum thay sath meray
mujhay rok rok pocha, tera hamsafr kahan hai

Bashir Badar

next: "yay"

yeh udaasi koi hasti hae keh basti keh ujaaR
yeh meri fikr-e-nihaaN hae koi naddi keh pahaaR

~raah jinoon main iss qadar na andha ho koi
kitnae barae pahar sae takraa gaye hawaa~

P.S: stop flooding GTG and sirarosh!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif


~~Khud ko yun mahsur kar baithi hun apni zaat mein
manzilain charon taraf haiN rasta koee nahin~
~

magar yae to koi n a janay meri manzil hain kahaaaaan!!;~)

Aah ko chahye aik umr asar honay tak
Kaun jita hay teri zulf kay sar honay tak

P.S: tanhaiyan ji we are not flooding, do check the timing difference between our posts :)

[This message has been edited by Sirfarosh (edited May 03, 2002).]

~kiyon chupkae sae woah loog uter jatae hain dil main
jin logoon sae qismat kae sitarae nahin miltae~

P.S: ok good... wiaseh bhi I was kidding!:~)


~~Khud ko yun mahsur kar baithi hun apni zaat mein
manzilain charon taraf haiN rasta koee nahin~
~

magar yae to koi n a janay meri manzil hain kahaaaaan!!;~)

Ye ham ne kab kaha waada hai aap ka jhoota
Ye kyuN qasam pe qasam aap khaaye jaate hain

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif