Bait Bazi Part -- LX

yaad aaein gay zamaanay ko misaaloN ke liyay
jaise boseedah kitaabein hoN, hawaaloN ke liyay.

yay


zindagi zinda billi ka naam hae...!

yaar please... 2 din ho gae hein... sab so rahay hein kya... next sher??... please koi?...


zindagi zinda billi ka naam hae...!

yeh do pahar to dhale, tujh ko rakh hona hai
jata na khak nasheenon pe bartaree apnee.

ye theek hai nahi marta koe judaae may
khuda kici ko mager kici say juda na karey


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

Yuun unaki bazm-e-Khamoshiyon ne kaam kiya
sab ne meri muhabbat kaa ehataraam kiya
hamaraa naam bhi lene lage vafaa vaale
hamein bhi aake farishton ne ab salaam kiya

aik lamha hee sahee... ho kabhie quurbat toh naseeb
hashr tak phir ussi aalam mein khuda rehne day

yay


zindagi zinda billi ka naam hae...!

Yeh taj-o-takht rahay apnee thokron mein sada
ke sarfaraz-e-saleb o sinaan thay hum jaisay

Yeh

Yeh to nahin ke gham nahin, haan meri aankh nam nahin
Ab na khushi ki hai khushi, gham ka bhi ab to gham nahin

Naheen ke tujh se bichar ke duniya ujar gayee ho
yahee ke dil bujh gaya zara sa malaal guzra

achhay eesa ho, mareezon ka khyaal achha hae
hum maray jaatay hein, tum kehtay ho haal achha hae

yay


zindagi zinda billi ka naam hae...!

yaa to mit jaaiye yaa mitaa dijiye
kijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye
ab jafaa kijiye yaa wafaa kijiye
aakhari waqt hai bas duaa kijiye

[This message has been edited by Ek Shairah (edited April 02, 2002).]

yeh adaa-e be-nayaazi, tujhe be-wafaa mubarak
magar aisee be-rukhee kya keh salaam tak na pohonchay

yay


zindagi zinda billi ka naam hae...!

yehi bahut hai ke dil us ko Dhoondh laaya hai
kisi ke saath hi sahi vo nazar to aaya hai

~~Ya Rub gham-e-hijran mein itna to kia hota

~~jo haath jigar par tha woh dast-e-dua hota

Next=>alif

ahbab chaara saazi wahshat na kar sakay
zindaan main bhi khial bayabaan naward tha
yeh laash-e-bay kafan asad-e-khasta jaan ki hay
haq maghfirat kare ajab azad mard tha.

ALIF next

Ab to har ek aan bolti Rut se jee Darta hai
be-fikari ki neend ka mausam shaayad beet gaya


Irfan Ismail

uski yaad aa'e hai saansoin zara ruk k chalo
dharkanoin say bhi ibadat may khalal perta hai


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

yeh kya maqaam hai vo nazaare kahan gaye
vo phuul kya huye vo sitaare kahan gaye

Yehi bohat hai gawahi meri rafaqat ki
keh mera saya teri dhoop se juda na hua

Alif

ibtadaa mein har museebat par laraz jaata tha dil
abb koi gham imtahaan-e ishq ke qaabil nahin

noon


zindagi zinda billi ka naam hae...!