Tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha hai Faraz
Aankh agar hoti to qatre meiN samandar dekhta
--Next - Alif
Ok jee, I 'll start madam...though I am preparing a course outline here :o
Hum say milnay ko ik zaman mila
Tera mina tha saneha sa kuch
'h'
oops, Ok I 'll start with Alif
Ajnabi ban kay jo guzra hai abhi
tha kisi waqt main apna logo
Dist tow khair koi kis ka hai
Us nay dushman bhi na samjha logo
Kaam ka kaam mujhe se karwa lo, mere paas karne ko aaj kuch nahi safai ke ilawa :o
Wahi taaj hai wahi takht hai wahi zehar hai wahi jaam hai
Yeh wahi khuda ki zameen hai yeh wahi botooN ka nizaam hai
BaRe shauq se mera ghar jala, koi aanch na tuj pe aae gi
Ye zubaaN kisi ne khareed li, ye qalam kisi ka ghulam hai
--Next - Yeh
wah je wah, that was nice, eh.
my memory isnt good when it comes to citing ashaars, let other ppl come and this thread will take off in no time. But for the time being aap ka sath daitay hain....
Yeh moagza bhi mohabat kabhi dikhai mujhay
Keh sang tujh pay giray or zakhm aai mujhay
Main apnay paoon talay rondta hoon sa ay ko
Badan mera hi sahe, dopahar na bha ay mujhay
Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
Ya mera taaj gadayaa na banaya hota
Khaaksaari ke liye gar che banaya tha mujhe
Kaash khak-e-dar-e-janaaN na banaya hota
Next – Alif ![]()
Ibtida yeh thee kay main tha or dawa ilm ka
Inteha yeh thee kay is daway pay sharmaya bohat
At last ... at last ... at last ...
Bait Bazi thread is back :D
Thank you Ms. Sabah for resuming it once again ... !
**
Thorri ruswaee tumhari bhi tu hogi yaaroo
Chapp gaye shair hamaare jo risaloon mein kabhi
Jin ka hum aaj talak paa na sake koi jawaab
Khud ko dhoondenge un talkh sawaloon mein kabhi
**
Next: Ye
Yeh din bahaar ke ab bhi raas na aa sake
Ke ghunche khil to sake, khil ke muskura na sake
Meri tabahi dil par to reham kha na saki
Jo raushnai meiN rahe raushnai ko pa na sake
Next -- Yey
Yeh ik sajda jisay toon giraan samjhta hai
Hazaar sajday say daita hai admi ko nijaat
Taweel sadiyooN ke baseedah manzarooN se poocho
Meri tabahi ki daastaaN patharooN se poocho
Tumhare mahlooN ki shaan-o-shaukat bhi aarzi hai
Hamare maazi ka kya hua, maqbaroo se poocho
Next -- Wao
Woh gai rutoon kay udaas din, jo Qateel kat gaey piyar bin
tu kahay to un ko nikaal doon, teri zindagi kay hisaab say
Next "Yay".
ye khwaab hai khushbu hai ke jhoNka hai ke pal hai
ye dhundh hai badal hai ke saaya hai ke tum ho
--Wow--
subha-e-bahar hamko bulati rahi magar
ham khailte rahay kisi zulfon ki shaam se
If I only I had thought of these beautiful words...
[QUOTE]
*Originally posted by Aalsi: *
subha-e-bahar hamko bulati rahi magar
ham khailte rahay kisi zulfon ki shaam se
If I only I had thought of these beautiful words...
[/QUOTE]
Ye.. hummm
*Ya tou afsar mera shahana banaya hota
Ya mera taaj gadayaana banaya hota
Khaaksari ke liye Garche banaya tha mujhay
Kaash Sange Dare Janana Banaya hota *
(Bahdur Shah Zafar)
Next..... Alif...
Is mahol mai qooshion ki rachi thee qooshboo
Aik dil tha jo gham e dost mai gaiyab
Bay....
BaRay DinooN se hay Ye mashghla Siasat ka
Ke Jab Jawaan hooN bachay tou Qatl HO jayeeN
(Sahir)
Next.... Noooon :)
Na maloom yahan par log kub log milangay mohabat say
Sirif waja ye kay hum ghair hain gupshup par :(
**
Raat phir ayegi phir zehan ke darwaazay per
Koi mehndi mein rangay haath se dastak deyga ...
**
Next: Alif