Bait Bazi Part I

Aalsi Dear…

Its for you :slight_smile:

Aap GherooN ki baat kartay ho
Humnay Apnay bhi Aazmaye haiN
Log kanTooN se bach ke Chaltay haiN
Humne PhoolooN se Zakhm khaye haiN.

Next… Nooon

And… Welcome to GS :flower2:

Naqsh -e-Paa mit gaye Banay Jo Saahiloon ki rait pay
Deewana Hai Jo Ab Rait main Ungliyaan Pherta hai....!!

Ye....!

Glad to see you here Lamhay ...:)

Yehi likha tha meri haath ki lakeeroon main
Mein agar pyar karoonga to bikhar jaoonga ...

Next: Alif

Anhkoon mein raha dil mein utar ker nahi dehka,
Kashti kay musafir ney kinara nahi dehka,
Pathar mujhe kehta hai mera chahney wala,
mein moom hoon us nay kabhi choo kar nahi dekha....!!

Alif...!

Bahut khoob janaab … :k:

Ankh samandar, dil sehra, aur chehray pay hoo ka aalam
Raaz chupanay ki koshish main tum charcha kar baithay ho…

Next: Wao

**
Woh Apnay Zum main Tha Beykhabar Raha Mujh say
Ussay Gumman bhi Nahin , Main nahi Raha Uska.....!!!**

Alif.....!

Zabardast again Lamhay …:k:

Ab in dukhoon se bhi karna parega mujhe pyar
Ke de gaya hai koi dukh nishaanoon ki tarah
Ajeeb baat hai ke hamaari aap-beeti ab
Sunaee jaati hai hum ko kahaneyoon ki tarah …

**
Hum sey aik baar bhi jeeta hai na jeetay ga koi
woh tu hum jaan key kha letay hain maatein aksar...!!


**

REY.....!!

Raat phir aayegi phir zehan ke darwaazay per
Koi mehndi mein rangay haath se dastak deyga ...

Next: Alif

Usay mehdood ker sakta nahi koi faseeloon main
kay dil waloon ka shehar-e-dard to phela hai meiloon main

"Qateel Shifai"

"Noon".

NaheeN NaheeN ye khabar DhusmanooN ne di hogi
Wo aye.. akay chalay bhi gaye... Milay bhi naheeN..!

Next... Nooon Again

Na jaanay kyon ussya dil meharbaan samajhta hai
Woh dost hai tu bas itna ke ajnabi kam hai ...

Next: Ye

**~Ye tujh ko iKhtiyaar hai Taseer dey na dey
Dast-e-dua Hum aaj Uthaye huay tu hain

Mittay huoon ko dekh ke kyon ro na dein 'Majaz'
AKhir kisi key hum bhi Mitaye huay tu hain~

**
Noon!

Lajawaab … :k::k::k:

Na deed hai na sukhan ab na koi harf hai na payaam
Koi bhi heela-e-taskeen nahee aur aas bahut hai
Umeed-e-yaar nazar ka mizaaj dard ka rang
Tum aaj kuch bhi na poocho ke dil udaas bahut hai …

Next: Ye

*

ye tumhari talkh nawaiya koi aur sah kar dekha to day
ye jo hum main tum main nibha hai mery hoslay ka kamal hai

next ye

Na laina naam a qasid faqat itna he keh dena
Jinhay tum bhool baitay ho wo aksar yaad kartay hain

Nahee aati to yaad un ki maheeno tak nahee aati
Magar jab yaad aatay hain to aksar yaad aatay hain

Nasir hum ko raat mila tha tanha or udas
Wahee purani batain uski wahee purana rog

Gaaf...

*Gaye DinooN ka suraagh le kar, kahaaN se aya Kidhar Gaya wo
Ajeeb Manoos ajnabi tha, mujhay tou hairan kar gaya wo *

Next.... Hay

Her bulandi yahan ki pasti hai, yay to herjaeiyoon ki basti hai
kab karay ga yahan koi khuwaish teri hi dilrubao ki

Next "Yay".