Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Teray naam zindagani hay ye he meri kahani
Meri zindagi mein roshan teri yaad kay diyay hein

"Noon"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Sorry to Cross u Ahmer :::

Apni tanhai mere naam pe abaad karay...
Kaun hoga jo mujhe is tarha say yaad karay?

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Baat Kisi Ko Nahi Maloom Ke Momin
Qaari Nazar Aata Hai Haqeeqat Main Hai Qur'aan

'Noon'

PS: no need to say sorry yaar.. :$

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Neend tarsay gii mairi aankhon ko
jab bhii khvabon seyy dossti hogii

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Theek Hai, Koi Marta Nahi Judai Main
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Karay

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh charagh be-nazar hai ye sitara be-zuban hai
abhi tujh se millta jullta koyii dosraa kahaan haii

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Kis Maqaam Pe Soojhi Tujhay Bichhernay Ki
Ke Abb To Jakay Kahin Din Sanwarnay Walay Thay

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh achanak jo ujala sa huva jaata haii..
dil ne chupke se taira naam pukara hoga
ishq karna hai to din rat usse sochna hai
aur kuch zehan mein aya to khasara hoga

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Apne qatil ki zehaanat se pareshan hon mai
Roz eik maut naye tarz ki ijaad karay!
Uski Muthi mai bohat roz raha mera wujood,
Mere Saahir se kaho ab mujhay aazaad karay!

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo, Batain Na Banao Insha'Jee
Ye Shehr Tumhara Apna Hai, Isay Chhor Na Jao Insha'Jee

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh chahaton ki karri musafat, chalay hain tanha shikasht-khurda
koyii tou maira darrd jaanay, koyii tou uss sey hisaab maangey...

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Wisaal-e-Yaar Hota
Ager Aur Jeetay Rehtay Yehi Intezaar Hota

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Abhi tou main ne samandar mein naa'o daali thi
yeh kia huva k badallne laga hai leherr ka rang

Gaaf

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Go Zara Si Baat Pe Barsoon Ke Yaranay Gaye
Lekin Chalo Yuun To Hua Kuch Log Pehchanay Gaye

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yuun tu likhnay ko kya nahi likha mainey
Phir bhi jitna tujhe chaha nahi likha mainay

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh aarzoo bhi barri cheez hai magar humdam
wesaal-e-yaar faqat aarzoo kii baat nahinn...

Noon

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


naam usi ka naam sawairay shaam likha
shar likha ya khaat us ko gumnaam likha
us diN pahla phool khila jab paat-jhar ne
paa'tee paa'tee jor k teraa naam likha

"alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Is ka malal kiA jo nahi ikhtyaR maiN
Itna be kia ye kam hai k wo apNa laga mujhaY
WahshaaT kahiN isaY ya meraY paa'oN ki talab
Is ki taraF he lay gya haR rasta mujhaY

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yaad-e-Maazi Azaab Hai Ya'Rub
Chheen Le Mujh Se Haafiza Mera

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka
ik pal ko sakoot toot gaya dil ki qabar ka

alif