Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yaad Ke Bay'Nishaan Jazeeron Se
Teri Aawaaz Arahi Hai Abhi

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


yaad karnay ke siwa ab kar bhi kya saktey hain
bhool janey mein tujhey nakaam ho janey ke baad

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Do Aalam Se Kerti Hai Be'gana Dil Ko
Ajab Cheez Hai Lazzat-e-Aashnaii

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye kya kay har kisi say baya'n dil ki haltain karni
faraz tujh ko na asakee'n mohabatain karni

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Ishq Nahi Aasaan, Bus Itna Samajh Lejay
Ek Aag Ka Darya Hai Aur Doob Ke Jana Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


yohi besabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaab hai usay chupkay chupkay parha karo

wao :D

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Wo Chaandni Ki Bashaarat Hai Harf-e-Aakhir Tak
Basheer Badr Na Jao, Baraa Andhera Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye haiN sab varaq teri yaad ke koi lamhaa subah-e-visaal kaa, kaaye shab-e-hijR ki qurbateiN

ye:smack2:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Masaa'il-e-Tasawwuf Ye Tera Bayaan Ghalib
Tujhe Hum Wali Samajhtay Jo Na Baada'Khuaar Hota

'Alif'

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

aaNkhoN ka sehan bheeg gaya yaadoN ki nami sey kuch bhi to sila nahi mila ashqoN pe jabar ka

alif
:bobo:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Uss Gherat-e-Naheed Ki Her Taan Hai Deepak
Shola Sa Lapak Jaye Hai Aawaz Tou Dekho

'Wow'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Wafa ki baat pe tum kyun sambhal k baith gaye
tumhaari baat nahin, baat hai zamaaney kii...

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye to Waqt kay bas mein hay kay kitani Mohlat de
Warna bakht Dhekanay mein der kitni lagti hay

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahi Kertay
Malaal Kion Nahi Hota, Malaal Hota Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Arsalan bakht dhekatay kaise hain.. ?? dhallne ya badalne ka tou suna tha.. :p

Yeh or baat hai dushman huva hai aaj magar
woh maira dost tha kal tak usey bura na kaho

wow

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Wo Mujh Ko Chhor Gaya Tou Mujhe Yaqeen Aaya
Koi Bhi Shakhs Zaruri Nahi Kisi Ke Leay

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yahan kissi ko bhi kuch hasb-e-aarzo na mila
kissi ko hum na miley aurr hum ko tu na milaa

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Usay Kaho Ke Buhat Na'Muraad Shay Hai Junoon
Usay Kaho Mujhe Hai Buhay Junoon Uss Ka

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ik ghazal uss pe likhon dill kaa taqaaza hai buhat
in dinon khud se bichar jaane ka dharka hai buhat
raatt ho dinn ho ghaflatt ho key be-daarii ho...
usko daikha tou nahin hai usko sochaa hai buhatt

Tey

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Tum Takalluf Bhi Ikhlaas Samajhtay Ho Faraaz
Dost Hota Nahi Her Haath Milanay Wala

'Alif'