Bait Bazi Month of November 2008

Salam o alikum to all.
New to this forum of such lively people :p mera pehla contribution, Dr. Bashir Badar kay 2 sher:

naa jaane kab tere dil par naii sii dastak ho
makaan Khaalii huaa hai to koii aayegaa
tumhen zaruur koii chaahaton se dekhegaa
magar vo aankhen hamaarii kahaan se laayegaa

"alif"

Apna wo nai jo paas aa gaya,
pyara wo bhi nai jo door chala gaya
paas aur door se nai bante rishtey
apna to wo he jo dil men sama gaya

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Is tarha meray DIL k bohot paas ho TUM
Jis tarha paas hi sheh-rag k khuda hota hay..

"Ye"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Ws Sana & welcome here..

Ye udaasiyon k mausam ray'gaan na jayen
kissi yaad ko pukaro kissi darrd ko jagaaao

wao

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Woh Jo Aatay Thay Aankhoon Main Chand Sitaray Lay Kar
Jaanay Kis Dais Ga'ey Khwaab Humaray lay kar
Kitnee Hee Dooor Chalay Jain Woh Hum Say laykin
Waqt Aa'ega Unhain Paas Humaray Lay Kar

Ray

Rait par baith kay bheegay huay ashkon say
Tum bhi likho gay maira naam magar mairay ba'd

"daal"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

*Dil men intezar ki lakeer chhor jehen ge
ankhon men yadoin ki nami chhor jahen ge
*

Re: Bait Bazi Month of November 2008

^ last word kis ne btana tha :aq:

yeh yaad tha k dua karon par uthey rahey meray haath yun
jaisey khwaahishon key hujoom mein kahien khou gai teri aarzoo

wao

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Waqt Acha Bhi Aye Ga Nasir
Gham Na Ker, Zindagi Pari Hai Abhi

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Yeh sanaiha bhi muhabat main barhaa guzara
ka us nay haal bhi pocha tu aankh bhar ayii



"yay"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Ye Kia Ke Bayaan Sab Se Dil Ki Halatain Kerni
Faraz Tujh Ko Na Aayeen Muhabatain Kerni

'Ye'

yohi besabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo woh ghazal ki sachi kitaab hai usay chupkay chupkay parha karo

wao :chai:

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Wo dost kia ajeeb tha jis ki zaat per
Jab aetbaar barh gaya, to ikhtiyaar ghat gaya

"Alif"

inhi pathroo'n par chal kar asakoo to aoo
mery ghar kay rastay mai koi kehkishaa nahi hai

ye

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Ye tera saath ghari bhar ka
Umer bhar sataata rahay ga aadtoon ki tarha..

"Alif"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

ahsas ke andaz badal jatay hain Faraz
warna aanchal bhi usi dhaagay say banta hai kafan bhi

"yeh"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Ye sach nahi keh hum nay bhulaya nahi us ko
Sach ye hay keh wo mujh say bhulaya nahi jataa

"ALIF"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Ay zindagi mujh se ye dagha na kar,
Main us k bina jiyun ye dua na kar,
Koi dekhe bhi usse to hoti hai jalan,
Ay hawa tu bhi ab usse chhua na Kar

"Rey"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

Rok lain mashq-e-sitam say na kahin haath apna
Wo jo aatay hain to hum zakham chupa letay hain

"Noon"

Re: Bait Bazi Month of November 2008

yeh chahat hai atta,at hai k qana,at hai Faraz, ham tou khush hein vo jis haal mein jaisa rakhe. Zohaib