Re: Bait Bazi Month of November 2008
Nafs mouj-e-muheet-e-bekhudi hai
taghafull! haaye saaqi ka gila kiaa
Alif
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Nafs mouj-e-muheet-e-bekhudi hai
taghafull! haaye saaqi ka gila kiaa
Alif
Re: Bait Bazi Month of November 2008
aik muddit se meri maa nahi soi ah tabish ...........main ne aik baar kaha tha mujay dar lagta hai
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Yeh masaayel-e-tasawuf yeh tera bayaan 'ghalib'
tujhay ham wali samajhtay jo na baada khawar hota
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Ikk Nighaah Ka Sanaata Hai Ikk Aawaz Ka Banjar Pan
Main Kitna Tanha Baitha Hoon Qurbat Ke Weeraney Mein …!
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Naa ganwaao nawek-e-neem kashh dill raiza raiza ganwa diyaa
jo bachayy hain sung samaitt lo tan-e-daagh daagh luta diyaa..
maire chara-e-gar ko naveed ho' saf-e-dushmana ko khabar karo
woh jo qarz rakhte thay jaan par woh hisaab hum ne chuka diya
Alif
aataa hey yaad mujhko guzraa huwa zamaanaa
wuho baaGh kii bahaareiN wuh sab ka chah-chahaanaa
lagatii ho choT dil par, aataa hey yaad jis dam
shabanam ke aaNsuuoN par kaliyoN ka muskuraanaa
Alif''
Re: Bait Bazi Month of November 2008
ek baar woh mila tha mujhe berukhi ke saath
us din se dil ka sheher barabar udaas hai
"yay"
Re: Bait Bazi Month of November 2008
ye alag baat hai saaqii ki mujhe hosh nahii.n
hosh itanaa hai ki mai.n tujh se faraamosh nahii.n
yaad itanaa hai ki pahu.Nchaa dar-e-maiKhaane tak
kyaa kahuu.N aage ki aage kaa mujhe hosh nahii.n
"noon"
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Na shakaayateiN na gila karey
koi aesa shkhs huwa karey
Ye''
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Yeh dil hi jaanta hai k kis hausle kay saath
na-qadri-e-mataa'a-e-hunar daikhte rahay
Yeh
Re: Bait Bazi Month of November 2008
ye jannat mubaarak rahe zaahido.n ko
ki mai.n aap kaa saamnaa chaahtaa huu.N
Noon
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Neend waalon ko kia khabarr iss kii
kaun jaaga hai raat bharr tanhaa..
Alif
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Apni Taqdeer Main Likha Tha Becharna, Bechray
Is Judaii Ka Sabab Main Bhi Nahi, Tu Bhi Nahi'n
Noon
Nahi mil raha hey yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey
sun aey jus'tuju dey jawaab tu ke ley aai hey ye kahaaN mujhey!
Ye''
Re: Bait Bazi Month of November 2008
yeh saja sajaya ghar saqi, meri zaat nahin mera haal nahin
ay kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne azaar dia
"Alif
irada tha tarq-e-mohabbat ke lekin, faraib-e-tabassum mein phir aa gay hum
abhi kha k thokar sanbhalne na paye k phir khai thokar sanbhalte sanbhalte
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Yun bhii nahin ke pass hai maire woh hum-nafass
ye b ghalat ke mujh se juda ho gaya woh shakhs
Suad
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Sadmay Jhelu'n, Jaan pe Khelu'n, Iss Se Mujhe Inkaar Nahin
Lekin Teray Paas Wafa Ka Koi Bhi May'yar Nahin
'Noon'
ye
Re: Bait Bazi Month of November 2008
Yehi nahin ke zakhm-e-jaan ko charah' jo mila nahin
yeh haal tha ke dill ko issm-e-aarzoo milaa nahinn..
wohh kaisi aasss thi Ada` jou ku-bakuu liye phirriiii
woh kuch tou tha jo dill ko aaj tak kabhu mila nahin
Noon